yehi samandar jo saahilon ki
haddon kay andar
ubal rahay hain
kabhi agar in ki teh mai jhaanko to
moj-e-saakin, saraab-e-raqs-o-sur-o-naghma
yahaan say lay kar wahaan talak bas sakoot-e-tanha
koi bhi shikva-rasaa nahi hay
afsurda chehron, udaas aankhon ki dastaanain
gali gali mai
khmoshiyoon ko jaga rahi hain
meri udaasi hay bay-zubaani
meri udaasi kahaan nahi hay
ab luhu ronay ki khuwaahish na lahu honay ki
dil-e-zinda teray mar jaanay ka mausam aaya
koocha-e-yaar say har fasal mai guzray hain magar
shaayad ab jaaN say guzar jaanay ka mausam aaya
raat kis waqt dhali
kis ko maloom, huwi subha-e-tamanna kis waqt
raat kis waqt dhali
koi uss waqt na tha meray qareeb
jab sar-e-koo-e-habeeb
shoq ki baat chali
kiya khabar kaisay huwi dil ki kahani aakhir
raat kis waqt dhali
kiya khabar kon ufaq say ubhri
aankh kay taaq mai umeed ki baynaam kiran
yoon chali qaafla-e-harf-o-sada ki khushbu
jaisay mehka ho chaman
dil mai iss tarah kisi yaad nay karvat badli
jaisay dar jaaey hiran
saans mai yun kisi jazbay nay utthaeeN palkaiN
jaisay khilti hay kali
raat kis waqt dhali
raat kis wat dhali, kis ko khabar, doob gaya
kis ghaRi bheegti aankhoN mai sitaara gham ka
(kis nay paaya hay kinaara gham ka)
iss qadar os parri rukhsaaroN par
apnay chehray pay gulistaaN ka gumaN honay laga
dasht-e-dil seel-e-ravaaN honay laga
jab kabhi aankh utthi taaron per
chaandni maand huwi khuaab banay angaaray
shoq nay dard ki deevaaron per
naam kiya kiya na likhay aur mitaaey, piyaaray
aaina-khaana-e-khuwaab pe har ik lamha, hijr
soorat-e-sang laga
aa meray dost mujhe ang laga
mai mas-e-khaam hoon kar day mujhe sonay ki dali
raat kis waqt dhali
kitnay mausam thay jinhay taira patta mil na saka
kitni shaamain theen jinhain rang-e-hinna mil na saka
kitnay sajday thay jabeenon ki kameen-gaahon mai
jin ko ay dost tera qibla-e-paa mil na saka
mai bhi ik sajda-e-gum-raah ki soorat teray
naqsh-e-paa dhoond kay mayoos palat aaya hoon
mai woh mash’al hoon keh jo koocha-e-kooraaN mai jali
woh musaafir hoon jissay mil na saki teri gali
kiya khabar mujh ko huwi subha-e-tamanna kis waqt
raat kis waqt dhali
buhut koshish karay laikin
musaafir aa nahi sakta
koi phir rok laita hay
ussay wapus palatnay say
faqat muR kar hi taknay say
aur uss ka muntazir lamha
kai sadyoN, kai janmoN say
uss ka muntazir lamha
balakhir beet jaata hay
muqaddar jeet jaata hay
meri zindagi hay wabaal mai
maira dil hay dard kay jaal mai
ussay kho diya mai na paa saka
jissay chorr kar na bhula saka
wohi ab bhi jaaN kay qareeb hay
tera qurb kiya tha saraab tha
woh jo ishq tha azaab tha
teri yaad hay keh hasaar hay
wohi soz-e-gard-o-ghubaar hay
wohi dard-e-dil keh naseeb hay
koi khuwaab hay keh fusooN hay
wohi bay-wajah ka junooN hay
wohi khof hay meray zehan par
nahi zakhm ka koi chaara-gar
mera zakhm-e-dil bhi ajeeb hay
go kay kehnay wali to
bay-hisaab baatain hain
aur meri jholi main
bay-shumaar raatain hain
bay-shumaar raatain jo
jaag kar guzaari hain
kis tarah meray dil say
naag ban kay lipti hain
bay-shumaar raaton main
an-gint woh lamhay hain
jin ki band mutthi mai
sirf teri baatain hain
bay-shumaar raaton ki
bay-hisaab lamhon ki
un-kahi sabhi baatain
sirf tujh say kehni hain
na kaheen to woh baatain
bay-hisaab lamhon ki
zindagi ki raahon ko
khaar khaar kar dain gi
phir bhi yeh iraada hay
zindagi ki raahon par
paaon khooN say rang jaaeyn
bay-shumaar raaton ki
un-kahi sabhi baatain
naag ban kay das jaaeyn
tum say kuch nahi kehna!
tum say kuch nahi kehna!
andheri raat hai saaya tu ho nahin sakta
ye kaun hai jo mere saath saath chalta hai
tark-e-tauluqaat ko aik lamha chahiye
laikin tamam umar mujhay sochna parra
ab ke saal poonam mein jab too aayegi milne,
ham ne soch rakha hai raat yoon guzaareNge
DhadkaneN bicha deNge shoKh taire QadmoN par
ham nigaahoN se teri aarti utaareNge
tu ke aaj qatil hai, phir bhe rahat-e-dil hai
zeher ke nadi hai tu, phir bhe qeemti hai tu
pasT hoslay walay tera sath kya daiN gai
zindagi idher aa ja hum tujhe guzaraiN gai
aa’hani kalejay ko zakhem ke zarorat hai
ungliyoN se jo tapkay os lahoo ke hajat hai
aap zulf-e-janaN ke kham saNwariye sahab
zindagi ke zulfoN ko aap kya saNwaraiN gai
hum to waqt heiN pel heiN, taiz gam ghariyaN heiN
baiqarar lamhay heiN, bai’takan sadiyaN heiN
koi sath meiN apne, aye ya nahi aye
jo mile ga rastay meiN hum osay pukaraiN gai
Ain us waqt say zara pehlay
Jab qiamat uternay wali thi
Dil ki dharti kay saray rastaun per
Aik udasi bikharnay wali thi
Saray imkan bhuj rahay thay jab
Mai nay her cheez us ko lota di
Tund jazbaat mai jo kabhi us nay apni hathailion say
Garam taaza lahu nikaala tha
Aur wo jo khat us nay meri chaahat mai
chuurion say likhay thay
Aur parween ki kaii nazmain
Mai nay her cheez us ko lota di
Aur bhi bohat si cheezain theen
Jin mai chand mehaktay huay tissue paper
Ek deewan mirza ghalib ka
Ek cchalla, ghari, qalam, khushboo
Un-silay suit ka naya kapra
Diary jis kay warq sada thay
Aur wo wishing cards jin ki tehreerain
udas kerti theen meray kamray ko
Mai nay her cheez us ko lota di
kitni baichaargi kay aalam may
us nay mujh say poocha keh
day sako gay kia mujh ko
umar-e-rafta kai wo haseen manzar
sab kay hotay huay bhi jo mai nay
kerb-e-tanhaai mai guzaaray thay
mujh say roothi hui meri sakhian
serdion ki taveel ter raatain
do bers ki tumam needain
beh gaii chashm-e-ghum say ek dua
sab teri bay-rukhi ki nazar hua
mera maazi mera shakista haal
kis terha day sako gay tum mujh ko
meri umar ka saulwan satarwan saaal
jumbsh-e-lab say aankh bharnay tak
us kay dil may jis qasr boojh tha
us nay wo bhi meray supurd kia
choorion say dehaktay hauton tak
us ki har cheez meray pass rahi
ek arsa guzr gia leikin
dil ka yazdaan ab bhi khaali hai
keisay sadion ka bhojh halka ho
meri aankhon may khushk saali hai.
Chund rooz meri jaaN! faqt chund hi rooz
Zulm ki chhaooN mein dam lainy par mujboor hain ham
Our kochh rooz sitam seh lain tarhp leen roo lain
Apny ajdad ki meraas he mujboor hain hum
Jism pe qaid he juzbaat pe zunjireeN hain
Fikr mahboos he guftaar pe taazireen hain
Apni haimmat he keh hum phir bhi jiiye jaty hain
Zindgi kiya kissi muflis ki qabaa he jis mein
Har garhi dard ky peywend lagy jaty hain
Lekin ab zulm ki meyaad ky dinn torhy hain
Ik zara sabr keh faryaad ky dinn torhy hain
Arsa-e-dehar ki jhulsi hoyi weraani mein
Hum ko rehna he par yoonhi to naheen rehna he
Ajnabi hathoon ka benaam garanbaar sitam
Aaj sehna he hameesha to naheen sehna he
Yeh tery khusn pe lipti hoyi aalaam ki gard
Apni do rozah juwani ki shakustooN ka shumaar
Chandni ratooN ka bekaar dehkta howa dard
Dil ki besood tarhap jism ki mayoos pukaar
chund roz meri jaan! faqt chund hi roz
Mery pesh-e-nazar — Aaeye mery humsafar
He yehi eik ghum —- Hum bichhar jaeen gy
Meri afsurdgi —– Dekh kar her gharhi
Kehti he chushm-e-nam – Hum bichhar jaeen gy
Aansuoon mein meri—– umrr beh gaye gi
Tum chaly jaoo gy —– yaad reh jaye gi
Tum ny yeh kiya kiya — mujh ko batla diya
Kochh dinoon mein sanam- Hum bichharh jaeen gy
Kal nah jany kahan — our kis haal mein
Tum uljh jaoo gy —– waqt ky jaal mein
Kal bhula kar utho — Saath mery chaloo
Aaj to do qadam —– Hum bichharh jaeen gy
Chhorh peman-e-wafa ki baat, sharmindah nah kar
DoriyaaN, mujboriyaaN, ruswaiyaaN, tanhaiyaaN
Koi qatil, koi bismil, siskiyaaN, shehnaiyaaN
Dekh yeh hansta howa mosam he mozo-e-nazar
Waqt ki roo mein abhi sahil, abhi mouj-e-fana
Eik jounka, eik aandhi, ik kiran, ik jowy-e-khooN
Hath hathhooN ka asasa, hath hathooN sy juda
Jub kabhi aaye ga hum per bhi judai ka samaaN
Toot jaye ga mery dil mein kissi khuwahish ka teer
Beegh jagy gi teri aankhooN mein kajal ki lakeer
Kal ky aandeshooN sy apny dil ko aarzadah nah kar
dekh yeh hansta huw mausam, yeh khushboo ka safar
waqt say kon kahay yaar zara ahista
gar nahin vasal to yeh khuaab-e-rafaaqat hi zara dair rahay
waqfa-e-khuaab kay paaband hain
jab tak ham hain
yeh jo toota to bikher jaaeyn gay saaray manzar
(teergi-zaad ko moj hay fana ki taleem)
hast aur naist kay maabain agar
khuwaab ka pal na rahay
kuch na rahay
waqt say kon kahay
yaar zara aahista…
Mai baarishon mai jo yaad aaoon
to soch laina
keh iss ki boondon mai mairay ashkon nay ghar kiya hay
safar kiya hay……asar kiya hay
mai baarishon mai jo yaad aaoon
to soch laina
keh bheegay mausam nay maira aanchal bhigo diya hay
thaa dard-e-hijraaN barra hi qaatil
woh meray dil mai sumo diya hay
tumharay waadon ka tha mehal jo,
thi uss ki bunyaad paaniyon per
yehi sabab hay keh taiz lehroN nay uss ko aakhir,
dubo diya hay
mai baarishon mai jo yaad aaoon,
to soch laina
Shehar Ke Dukandaro Karobaar-E-Ulfat Mein Sood Kia Zian Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
Dil Ke Daam Kitne Hein Khuwab Kitne Mehnge Hein Aur Naqd-E-Jaan Kia Hai Tum Na Jaan Pao Gay
Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron
Koi Kaisay Milta Hai Phool Kaisay Khilta Hai Aankh Kaisay Jhukti Hai Saans Kaisay Rukti Hai
Kaisay Reh Nikalti Hai Kaisay Baatein Chalti Hai Shouq Ki Zabaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron
Wasl Ka Sukoon Kya Hai, Hijr Ka Junoon Kya Hai, Husn Ka Fusoon Kya Hai, Ishq Ke Daroon Kya Hai
Tum Mareez-E-Danai Maslihat Ke Shaydai Raah-E-Gumrahan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron
Zakhm Kaisay Phaltay Hein Daagh Kaisay Jaltay Hein Dard Kaisay Hota Hai Koi Kaisay Rota Hai
Ashq Kia Hai Nalay Kia Dasht Kia Hai Chalay Kia Aah Kia Fughaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron
Namuraad Dil Kaisay Subah Shaam Kartay Hein Kaisay Zinda Rehtay Hein Aur Kaisay Martay Hein
Tum Ko Kab Nazar Aayi Ghamzadoon Ki Tanhai Zeest Be-Umaan Kia Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron
Janta Hoon Mein Tum Ko Zouq-E-Shaiyri Bhi Hai Shaksiyat Sayjanay Mein Ik Yeh Mahiri Bhi Hai
Phir Bhi Harf Chuntay Ho Sirf Lafz Suntay Ho In Ke Darmiyaan Kya Hai, Tum Na Jaan Pao Gay
Sheher Ke Dukandaron, Sheher Ke Dukandaron
ruke ruke se qadam, ruk ke baar baar chale
qaraar leke tere dar se, beqaraar chale
ruke ruke se qadam, ruk ke baar baar chale
ruke ruke se qadam……
subah na aayi kai baar neend se jaage
ki ek raat ki ye zindagi guzaar chale
ruke ruke se qadam………
uthaaye phir thay ke ehasaan dil ka seene par
le tere qadamon pe ye karz bhi utaar chale
qaraar leke tere dar se, beqaraar chale
ruke ruke se qadam, ruk ke baar baar chale
ruke ruke se qadam………..
main bhala kon hoon
tum nay daikha hay kabhi meri taraf
kon hoon mai
kitni mazboot nazar aati hoon (bazaahir)
kabhi bargadd kay ghanay pairr kay saaey jaisi
kabhi ustaada makaan ki soorat
aur kabhi naram bichhonay ki tarah
subah ki lau ki tarah
tund mojon mai muhabbat kay kinaaron ki tarah
kon hoon mai
tum nay daikha hay kabhi mairi taraf
aanhk say door kahin rooh kay teh-khaanay mai
tootay phootay say khilonay apnay
main nay tum sab say chhupa rakhay hain
tumhay maloom hay mujh mai koi kehta hay
rooh kay qufal ko torron ik din
apni khuwahishon ka dereecha kholoon
aur ji bhar kay khuli hawa mai khailoon…
jab nahi aaye thay tum tab bhi to tum aaye thay
aankh mein noor ki aur dil mein lahu ki surat
yaad ki tarha dharaktay huay dilki surat
tum nahi aaye abhi phir bhi to tum aaye ho
raat k seenay mein mehtab k khanjar ki tarha
subh k haath mein khursheed k saagar ki tarha
tum nahi aao ge jab phir bhi to tum aao ge
zulf dar zulf bikhar jayega phir raat ka rang
shab-e-tanhayee mein bhi lutf-e-mulakat ka rang
aao aane ki baat karen keh tum aaye ho
ab tum aaye ho to konsi shay nazr karoun
keh meray paas siwaye mehr-o-wafa kuch bhi nahi
aik dil aik tamanna k siwaye kuch bhi nahi
baadal kay aur beher kay rishtay ajeeb hain
kaali ghatta kay dosh pay berfon ka darakht hay
jitnay zameen pay behtay hain derya sabhi ka rukh
ik beher-e-bay-kinaar ki manzil ki simt hay
khuwabon mai aik bheegi huwi khush-dili kay saath
milti hay aashna say koi ajnabi si moj
baadal bhanwar kay haath say laitay hain apna rizq
phir uss ko baantetay hain ajeeb bay-rukhi kay saath
jungle mai sehan-e-baagh mai shehron mai dasht mai
chashmon mai aabshaaron mai jheelon kay tasht mai
gaahay yeh os ban kay sanwertay hain berg berg
gaahay kisi ki aankh mai bhertay hain iss tarah
aansu ki ik boond mai dajla dikhai day
aur doosray hi pal mai jo daikho to door tak
raig-e-rawaan dard ka sehra dikhaaee day
baadal kay behar kay jitnay hain silsilay
mujh say bhi teri aankh kay rishtay wohi to hain