Posted by: Some One Some Where | February 28, 2007

Kabhi yaad aao to iss tarah____ !

Kabhi yaad aao to iss tarah____ !
Ke lahoo ki saari tamazatain
Tumhain dhoop dhoop samait lain
Tumhain rang rang nikhar dain
Tumhain harf harf main soch lain
Tumhain daikhnay ka jo shouq ho
To dayar-e-hijr ki teergi
Ko mizha ki nauk say naoch lain

Kahi yaad aao to iss tarah
Ke dil-o-nazar main utar sako
Kabhi had say habs-e-junoon badhe
To hawaas ban ke bhikhar sako
Kabhi khul sako shab-e-wasl main
Kabhi khoon-e-dil main sanwar sako
Sar-e-rahguzar jo milo _____ kabhi
Na thehar sako __ na guzar sako!

Mera dard phir say ghazal bunay
Kabhi gungunao ___ to iss tarah
Meray zakhm phir say gulaab hoon
Kabhi muskaraoo ___ to iss tarah
Meri dhadhkanain bhi larz uthain
Kabhi chaut khao __ to iss tarah

Jo nahin to phir baday shouq say
Sabhi raabtay sabhi zaabtay
Kabhi dhoop chaon main tod do!
Na shikast-e-dil ka sitam saho
Na suno kisi ka azaab-e-jaan
Na kisi say apni khalish kaho
Yunhi khush phiro yunhi khush raho

Na ujar sakain na sanwar sakain
Kabhi dil dukhao ___ to iss tarah
Na simat sakain na bikhar sakain
Kabhi bhool jao __ to iss tarah
Kissi taur jaan say guzar sakain
Kabhi yaad aao ____ to iss tarah

Responses

Suno tum loat aao na !
wo daikho chaand nikla hai…
sitary jagmagaty hain…

hamari muntazir aankein !
duain maangti aankhein !
tumhain hi sochti aa nkhein !
tumhain wapis bulati hain…..

ye dil jab bhi dharakta hai…
tumhara naam laita hai….!

ye aansoo jab bhi behtay hain…
tumhary dukh mein behtay hain!

ye barish jb bhi hoti hai…
tmhy hi yaad krti hai……!

suno,tum loat aao na !!…………..

Leave a response

Your response:

Categories