Aey musavvir teri tasveer ko maiN kya samjhooN
July 31st, 2007 § Leave a Comment
AasmaaN samjhooN ya behtaa huaa darya samjhooN
Aey musavvir teri tasveer ko maiN kya samjhooN
Jaisay baandha hai hawaaoN pe koi pul toonay
Ya utaara hai zameeN par koi baadal toonay
Ya kisi naaz ka lehraya hai aaNchal toonay
Tujhay naadaan ya daAna ya phir aashiq samjhooN
Aey musavvir teri tasveer ko maiN kya samjhooN
Kabhi lagtee hai falak-bosa imaarat jaisee
To kabhi doobti kashti ki hai mayyat jaisee
Kabhi maKHfoof lagay hai kabhi jannat jaisee
BaDi Dilkash hai magar maiN isay samjhooN ya na samjhooN
Aey musavvir teri tasveer ko maiN kya samjhooN
Koi Hasrat Bhi Nahi , Koi Tamanna Bhi Nahi
July 31st, 2007 § Leave a Comment
Koi Hasrat Bhi Nahi , Koi Tamanna Bhi Nahi
Dil Wo Aansoo Jo Kisi Aankh Say Chalka Bhi Nahi
Rooth Ke Baith Gaye Himmat Dushwaar Pasand
Rah May Ab Koi Jalta Hua Sehra Bhi Nahi
Agay Kuch Log Hamein Dekh Ke Hans Dete Thay
Ab Yeh Aalam Hai, Koi Dekhne Wala Bhi Nahi
Dard, Wo Agg Kay Bujhti Nahi , Jalti Bhi Nahi
Yaad, Wo Zakham Ke Bharta Nahi , Rishta Bhi Nahi
Baad-baan Khool Ke Baithe Hain Safeenoo Walay
Paar Uternay Ke Liye Halka Sa Jhoonka Bhi Nahi
Izhaar
July 30th, 2007 § 5 Comments
tujhe izhaar-e-muhabbat se agar nafrat hai
tuu ne honToN ko larazne se to rokaa hotaa
be-niyaazii se, magar kaaNptii aavaaz ke saath
tuu ne ghabraa ke miraa naam na puuchaa hotaa
tere bas meN thii agar mash’al-e-jazbaat kii lau
tere ruKhsaar meN gulzaar na bhaRkaa hotaa
yuN to mujh se huii sirf aab-o-havaa ki baateN
apne TooTe hue fiqroN ko to parkhaa hotaa
yuuNhii be-waj’h ThiThakney ki zaruurat kyaa thii
dam-e-ruKhsat maiN agar yaad na aayaa hotaa
teraa ghammaz banaa khud tiraa andaaz-e-khiraam
dil na sambhlaa, to qadmoN ko sambhaala hota
apne badle miree tasviir nazar aa jaati
tuu ne us vaqt agar aaiinaa dekhaa hotaa
hoaslaa tujh ko na thaa mujh se judaa hone kaa
varnaa kaajal tiree aaNkhoN meN na phailaa hotaa
Ahmed Nadeem Qasmi
chorion ki khan khan abb der tak rulay gi
July 30th, 2007 § Leave a Comment
khushboaon ki rango ki ik bahar ho jesay
aarzoo k chehray pe ik nikhar ho jesay
lafz ki haqeeqat b zer nigaar ho jesay
jagmagatay taroon ki ik qitaar ho jesay
jagmagatay taroon pe rooshni ka haala ho
phool k goloo mai ik jugnuon ki maala ho
raat k andheray ko chand ne sanbhala ho
sonay jesay peker ko chandni mai dhala ho
khankhanti choori jab der tak jagati hay
raat apni palko pe aarzoo jamati hay
aarzoo pe ik perda chandni girati hay
chandni ki aot mai wo phir mujay bulati hay
chorion ka rang us k tan badan mai bherta hay
reshmi libada b khud bakhud uterta hay
us badan ka her tara kaam aisa kerta hay
chohdween ka chand us ko dekhtay hi merta hay
chorion ki khan khan ho , shakh jesi bahain hon
germ germ sansain hon , siskian hon aahain hon
chandi si manzil ho , raat jesi rahain hon
piyar k badan pe bas piyar ki nigahain hon
chorion ki khan khan abb der tak jagai gi
yaad k dereechon se jo hawa b aai gi
raat k andheray mai der tak satay gi
chorion ki khan khan abb der tak rulay gi
k lahjay baraf ho jaa’eiN
July 30th, 2007 § Leave a Comment
isay maiN ne he likha tha
k lahjay baraf ho jaa’eiN
tu phir pighla nahi kartey
parinday dar k urr jaa’eiN
tu phir loota nahi kartey
isay maiN ne he likha tha
yaqeeN uth jaa’ey tu sha’ed
kabhi wapis nahi aata
hawa’ooN ka koi toofaaN
kabhi baarish nahi laata
isay maiN ne he likha tha
k sheesha toot jaa’ey tu
kabhi phir jur nahi paata
jo rastey se bhatak jaa’ey
wo wapis mur nahi pata
isay kahna wo bey-maani adhura khat
usay maiN ne he likha tha
usay kahna k dewanay
mukamil khat nahi likhtey
aye sitara-e-shab-e-zindagii
July 30th, 2007 § Leave a Comment
wohii shaam koherr sii phir shaam
tere naam ho tu ghazal kahieN
wohii shaam jis kii rago`N mien thayy
terii khwaab-ankho`N k rut-jagayy
wohii shubh, wohii dhoop ki laalii
terii aarizo`N pe khillay tu phirr
rug-e-jaaN se nazaR kusheed ho
wohii rung, wohii roshnii
wohii khushbo`N ka hujoom ho
wohii ik pal terii deed ka
jo milay tu ashk chamak uthieN
jo bhujay tu daagh chamak uthieN
wohii ik pal terii deed ka
jo milay tu durd ki oot mien
sabhii kehkahay se jhalak uthieN
sar-e-loh-e-shaam-e-firaQ phir
ghum-e-ishQ mouj-e-naveed ho
aye sitara-e-shab-e-zindagii
idher aa k jashan ho moutaber
nazaR aa k dhung se eid ho …
Jo aansoo dil mein girtey hein wo aankhoon mein nahi rehte
July 30th, 2007 § Leave a Comment
Jo aansoo dil mein girtey hein wo aankhoon mein nahi rehte
Buhat se haarf aise hein jo lafzoon mein nahi rehte
Kitaaboon mein likhey jaatey hein dunya bhar kay afsaaney
Magar jin mein haqeeqat ho wo kitaaboon mein nahi rehte
Bahaa’r aaye to har aik phool pe saath aati hai
Hawa jin ka muqaddar ho wo shakhoon mein nahi rehte
Liye phirtey hein kuch ehbaab aise muztarib lamhey
Jahan darbaar mil jaaye jabeenoon mein nahi rehte
Mehek aur titlioon ka naam bhanwrey se juda kioon hu
Kay yeh bhi to khizaan aaney pe phooloon mein nahi rehte
Usey kehna……..
July 29th, 2007 § Leave a Comment
Usey kehna……..
Usey hum
YAD KARTEY HAIN !
Diyey jab
Sham ki deheliz pe
Jalaney aatey hain..
Sitarey aasman pe
Jab timtimatey hain…
Zamin pe
Chandni pholon pe
Parti hai..
Bohat hi khob lagti hai !
Hum us dam
Apni ankhon mein
Usey abad krtey hain.
Usey kehna
usey hum
YAD KARTEY HAIN !!!
meri auqaat kya
July 28th, 2007 § Leave a Comment
meri auqaat kya
mere din raat kya
reza reza badan
qatra qatra lahu
tukray tukray ziddein
raaegaa’n justaju
lamha lamha safar
bay-samar aarzu
aik aawaargi
sar-basar ku-baku
mere zer-e-nagee’n
kab koi aasmaa’n
kab koi sar-zamee’n
mera malboos-e-jaa’n
khaak ki aastee’n
is liyey jaan-e-man
bhool kar ehd-e-jaa’n
chor kar shehr-e-tan
tor kar bay-khalal
dard ki har rasan
mujh say bay-saakhta
bay-niyaaz-e-wafa
cheen kar bay-sabab
saya-e-zulf-o-lab
mujh se kar k juda
apna band-e-qaba
tu ne acha kia
meri auqaat kya
mere din raat kya
vo guthii aaj tak sulajha raha huu.N
July 27th, 2007 § Leave a Comment
sitaaroN se ulajhata jaa raha huu.N
shab-e-furqat bohot ghabara raha huu.N
tere Gham ko bhi kuch behla raha huu.N
jahaaN ko bhi bohot samajha raha huu.N
yaqeeN ye hai, haqeeqat khul rahi hai
gumaaN ye hai k dhokay khaa raha huu.N
tere pehluu meiN kyon hota hai mehsoos
k tujh se door hota jaa raha huu.N
jo uljhi thi kabhi aadam k haathoN
vo guthii aaj tak sulajha raha huu.N
Jo Adhoori Reh Gayi Thi Kahani Sochna
July 27th, 2007 § Leave a Comment
Jo Adhoori Reh Gayi Thi Kahani Sochna
Beth Ker Tanha Faqat Baaten Purani Sochna
Jab Kisi Saahil Pe Aajaiy Meri Yaad Tumhen
Kion Jazeeron Ki Taraf Rehta Hai Paani Sochna
Tum Agar Bicharney Per Khush Ho To Yun He Sahi
Beth Ker Tanha Faqat Shaamen Purani Sochna
Jab Kabhi Likhna Kahani Zeest Ke Mozu Pe Tum
Kioun Badal Jaatey Hen Lafzon Ke Maa’yne Sochna
najane kion udasee mere andar sans leitee hay?
July 27th, 2007 § Leave a Comment
kayee baar mehfalon main
humare chahne walon ke beech
hansee ko honton pe aane se pehle
phans leitee hay
najane kion udasee mere andar sans leitee hay?
bharein ahee jatee hay
gulshan mehekne lagty hay
khezayein shakh shakh se patta patta
chant leitee hay
najane kion udasee mere andar sans leitee hay?
kabhi ek lafaz ke maanee
zakheem deveno se badhkar
zehn ko, dil ko,pyasee rooh tako ko
dhanp leitee hay
najane kion udasee mere andar sans leitee hay?
kabhi ek arz kehne se
dareeche khulte hay man ke
kabhi HAWA ki beitee lal chorreyan
phank leitee hay
najane kion udasee mere andar sans leitee hay?
kaheen kandhe pe awara
kesee ki zulf mehki thee
kabhi hota hay na kesmat kesee maathe pe aake sare taare
taank leitee hay
najane kion udasee mere andar sans leitee hay?
hamesha ladkion ke bheid
hoonton pe nahi aate
ajab makhlooq hay ankhon se dil may
jhaank leitee hay
najane kion udasee mere andar sans leitee hay?
najane ISMAIL ka dhuk
samjhna ketna mushkil hay
baraste aanso mere muskurahat
haank leitee hay
najane kion udasee mere andar sans leitee hay?
dasht-e-wafa mai pyaas ka alam ajeeb tha
July 27th, 2007 § Leave a Comment
dasht-e-wafa mai pyaas ka alam ajeeb tha
dekha to ek dard ka dariya kareeb tha
guzray jidhar jidhar say tamana kay qafilay
har har ek qadam mai nishaa’n saleeb tha
kuch asi mehraba’n to na thi hum pay zindagi
kyu har koi jaha’n mai hamra raqeeb tha
kya kya laho say apnay kya hum nay surkhroo
is daur kay nagar ko jo dil say kareeb tha
apna pata to is nay diya tha mujhay karam
mai khud hi khogya to ye mera naseeb tha
Chashm-e-bekhwaab ko samaan buhat!
July 26th, 2007 § Leave a Comment
Chashm-e-bekhwaab ko samaan buhat!
raat bhar shehar ki galiyooN meiN hawa
hath meiN sang liye
khouf sey zard makanooN key dharhaktey dil per
dastakeeN deti jati he
roshni band kawarhooN sey nikaltey howey ghhabrati he
her taraf cheekh si lehrati he
haiN mery dil key liye dard key unwaan buhat
dard ka naam sama’at key liye rahat-e-jaaN
dast-e-bemayaa ko zar
nutq-e-khamoosh ko lafz
khwaab-e-bedar ko makaaN
dard ka naam mery…. shehr-e- khwahish ka nishaaN
manzil-e-reg-e-rawaaN
dard ki rah per taskeeN key inkaan buhat!
chashm-e-bekhwaab ko saman buhat…
naye kapaRe badal kar jaa’uuN kahaN aur baal banaa’uuN kis ke liye
July 26th, 2007 § Leave a Comment
naye kapaRe badal kar jaa’uuN kahaN aur baal banaa’uuN kis ke liye
vo shaKhs to shahar hi chhoR gayaa ab Khaak uRa’uuN kis ke liye
jis dhuup ki dil ko ThanDak thi vo dhuup usi ke saath gai
in jalti bujhti galiyoN meiN ab Khaak uRaa’uuN kis ke liye
vo shahar meiN thaa to us ke liye auroN se milnaa paRtaa thaa
ab aise-vaise logoN ke maiN naaz uThaa’uuN kis ke liye
ab shahar meiN is kaa baadal hi nahiN koi vaisaa jaan-e-Gazal hi nahiN
aivaan-e-Gazal meiN lafzoN ke guldaan sajaa’uuN kis ke liye
muddat se koi aayaa na gayaa sun_saan paRi hai ghar kii fazaa
in Khaali kamaroN meiN ‘Nasir’ ab shammaa jalaa’uuN kis ke liye
maine chaa.nd sitaaro.n …
July 26th, 2007 § Leave a Comment
maine chaa.nd aur sitaaro.n kii tamannaa kii thii
mujhako raato.n kii siyaahii ke sivaa kuchh na milaa
mai.n vo naGamaa huu.N jise pyaar kii mahafil na milii
vo musaafir huu.N jise koii bhii manzil na milii
zakhm paae.n hai.n bahaaro.n kii tamannaa kii thii
maine chaa.nd sitaaro.n …
kisii gesuu kisii aa.Nchal kaa sahaaraa bhii nahii.n
raaste me.n koii dhu.Ndhalaa saa sitaaraa bhii nahii.n
merii nazaro.n ne nazaaro.n kii tamannaa kii thii
maine chaa.nd sitaaro.n …
merii raaho.n se judaa ho gaI raahe.n unakii
aaj badalii nazar aatii hai.n nigaahe.n unakii
jisase is dil ne sahaaro.n kii tamannaa kii thii
maine chaa.nd sitaaro.n …
pyaar maa.ngaa to sisakate hue aramaan mile
chain chaahaa to uma.Date hue tuufaan mile
Duubate dil ne kinaaro.n kii tamannaa kii thii
maine chaa.nd sitaaro.n …
yeh fasal umeedooN ki humdam
July 26th, 2007 § Leave a Comment
Sab kaat do
bismil podooN ko
beaab siskatey mat chhorho
sab nooch lo
bekal phoolooN ko
shakhooN pe bilaktey mat chhorho
yeh fasal umeedooN ki humdam
is baar bhi gharat jaye gi
sab mehnat subhooN shamooN ki
ab key bhi akarat jaye gi
khaiti key konooN khudrooN mein
phir apney lahoo ki khaad bharo
phir mitti seenchoo ashkooN sey
phir agli rut ki fikar karo
phir agli rut ki fikar karo
jab phir ik baar ujarhna he
ik fasal pakki to bhar paya
jab tak to yehi kochh karna he
Yeh jo khawahishon k hain silsilay
July 26th, 2007 § Leave a Comment
Yeh jo khawahishon k hain silsilay
Yeh ajeeb tarz k hain silsilay
Yahan manzilain hain qadam qadam
Yahan justaju hai nafas nafas
Kaee manzilon tak pohanch gaye
Kaee raastay main hi kho gaye
Kaee ho gaye hain shikasta paa
Kaee thak k raah main so gaye
Kaee zindagi k suraagh main
Kaee moat k bujhtay charagh main
Dhoond rahay hain wohi manzilain
Jahan pohanch kar woh ja millain
Unhi khawahishon say jo mill gaee’n
Unhi aarzoo’on say jo na mill sakeen
Yahan aik baat hai mushtrik
Woh jo mill gaye,woh jo na millay
woh jo paa gaye ,woh jo kho gaye
sabhi khawhishon k aseer hain
Sabhi manzilon k raahgeer hain
Sabhi zindagi ki justaju main
Hain moat ki jaanib Rawa’n Dawa’n
Har shay yahan hain dhuan dhuan
Jo kal huwa ya na huwa
Magar khawahishon k yeh silsilay
Rahain gay aisay hi Dam ba Dam
Aseer-e-dasht-e-bala
July 25th, 2007 § Leave a Comment
Aseer-e-dasht-e-bala ka na majra kehna
tamam poochnay walon ko bas dua kehna
ye kehna raat guzarti hai ab bhi ankhon main
tumhari yaad ka qaim hai silsila kehna
ye kehna chand utarta hai baam per ab bhi
magar nahin wo shab-e-mah ka maza kehna
ye kehna hum ne hi toofan main daal di kashti
kasoor apna hai darya ko kaya bura kehna
ye kehna haar na mani kabhi andheron se
bujhe chiragh to dil ka diya jala kehna
ye kehna tum se bichar kar bikhar gaya “tishna”
ke jaisay haath se gir jaye aaina kehna
maiN titli ko sula doon ga zara tum sham honay do
July 24th, 2007 § Leave a Comment
maiN titli ko sula doon ga zara tum sham honay do
maiN jugno ko jaga doon ga zara tum sham honay do
kahan aa’gaaz hona hai kahaN anjaam hona hai
hunar saray sikha doon ga zara tum sham honay do
mujhay itni maharat hai k main saa’da say lafzooN maiN
tumhay dilkash bana doon ga zara tum sham honay do
meri nam’naak aa’nkhooN ko na dekhoo tum haqarat say
maiN tum ko bhi rula doon ga zara tum sham honay do
kahaN ho ge tumhari sham tum nay mujh say poocha hai
jahaN hoge bata doon ga zara tum sham honay do…!!!
ajnabi si rahon mein, dor tak nigahon mein
July 24th, 2007 § Leave a Comment
ajnabi si rahon mein, dor tak nigahon mein
teergi ka mosam hai, berukhi ka mosam hai
aaj phir nigahon ko, bete kal ki pyas hai
aisa lagta hai jese, chand phir udas hai
rang pheeke pheeke hain, tary roothe roothe hain
badalon ka shor hai, khizan khizan ye shor hai
iss qadar akele mein, pyar ki talash hai
aisa lagta hai jese, chand phir udas hai
ajab hai dil ki weshaten, aur aas paas ahaten
jis ko dhoondna chaho, os ko dhoond kab pao
phir raha hon darbadar, mojze ki talash hai
aisa lagta hai jese, chand phir udas hai
wo nazar sey door tu hain magar ye ajeeb surat-e haal hai
July 24th, 2007 § 3 Comments
wo nazar sey door tu hain magar ye ajeeb surat-e haal hai
huma waqt paish-e nazar bhi hain, na firaaq hay na visaal hai
na wo hum say kum, na hum un say kum, wo udher khafa, hum idher khafa
na unhain humara khayyal hay, na humain demaagh-e sawal hai
yehi qurbatain, yehi fasley tu kholoos-e ishq ki jaan hain
kabhi gard-e ranj-o malaal hay, kabhi fikr-e pursish-e haal hai
ye tumhaari talkh nawaiyaan koi aur seh k dikha tu day
ye jo tum main mujh main nibah hay, merey hoslay ka kamal hai
mujhay is ka koi bhi ghum nahi k kisi nay mujh sey wafa na ki
main kisi k kaam na aa saka mujhe sirf is ka malal hai
jo guzar rahi hay guzaar do, na bura kaho, na gila karo
jo tumhara haal hay dostoon, wohi saarey shehr ka haal hai
main kahan sey laoon wo roshni jo kisi k shehr main lut gayi
wo kisi ka shehr bhi lut gaya, mujhe is ka aur malaal hai
terey mashwarey k kholoos per mujhe tark-e ishq qobool hai
magar aik baat hay hum-nasheen, meri zindagi ka sawaal hai
iqbal azeem
ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaaN jaana
July 24th, 2007 § 1 Comment
ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaaN jaana
yaad kya tujhko dilaaein tera paymaaN jaana
yunhi mosam ki ada daikh k yaad aaya hai
kis qadar jald badal jaatay hein insaaN jaana
zindagi teri ataa thi so tere naam ki hai
hum ne jaisi bhi basar ki tera ehsaaN jaana
dil ye kehta hai k shaayad ho fasurda tu bhi
dil ki kya baat karein, dil to hai naadaaN jaana
awwal awwal ki muhabbat k nashay yaad to kar
be-piye bhi tera chehra tha gulistaaN jaana
aakhir aakhir to ye aalam hai k ab hosh nahi
rag-e-meena sulag uthi k rag-e-jaaN jaana
muddaton se yehi aalam, na tavaqqo na umeed
dil pukaaray hi chala jaata hai “jaana jaana”
hum bhi kya saada thay, hum ne bhi samajh rakha tha
gham-e-doraaN se juda hai Gham-e-jaana jaana
ab k kuch aesi saji mehfil-e-yaaraN jaana
sar-ba-zaanu hai koi sar-ba-girebaaN jaana
har koi apni hi awaaz se kaanp uthta hai
har koi apnay hi saaey se hiraasaN jaana
jis ko dekho wohi zanjeer-ba-pa lagata hai
shehr ka shehr hua daaKhil-e-zindaaN jaana
ab tera zikr bhi shaayad hi Gazal mein aaye
aur se aur hua dard ka unvaaN jaana
hum k roothi hui rut ko bhi mana lete thay
hum ne dekha hi na tha mosam-e-hijraaN jaana
hosh aaya to sabhii Khwaab thay reza reza
jaisay urtay huay auraaq-e-pareshaaN jaana
FARAZ
Gam-e-dauraa.N ne bhii siikhe Gam-e-jaanaa.N ke chalan
July 23rd, 2007 § Leave a Comment
Gam-e-dauraa.N ne bhii siikhe Gam-e-jaanaa.N ke chalan vahii sochii hu_ii chaale.n vahii besaaKhtaapan vahii iqraar me.n inkaar ke laakho.n pahaluu vahii ho.nTho.n pe tabassum vahii abaruu pe shikan kis ko dekhaa hai ki pindaar-e-nazar ke baavasaf ek lamhe ke liye ruk ga_ii dil kii dha.Dakan kaun sii fasl me.n is baar mile hai.n tujh se ham ko parvaah-e-girebaa.N hai.n na fikr-e-daaman ab to chubhatii hai havaa barf ke maidaano.n kii un dino.n jism ke ehasaas se jalataa thaa badan aisii suunii to kabhii shaam-e-Gariibaa.N bhii na thii dil bujhe jaate hai.n ai tiiragii-e-subah-e-vatan
Mustafa Zaidi
Mohabbat ho hi jaye gi
July 23rd, 2007 § Leave a Comment
Mohabbat mar nahi sakti
Mohabbat Zinda rehti hai
Mohabbat kam nahi hoti
Mohabbat barhti rehti hai
Magar itna yaqeen to ho
Ke tum ko bhi Mohabbat hai
Magar mujh ko yaqeen hai yeh
Ke mujh ko to Mohabbat hai
Agar tum ko nahi to kya
Tumhain bhi ho hi jaye gi
Churao Laakh tum nazrein
Kahin tum jaa nahi sakte
Meri Chahat ki shiddat ko
Yun hi thukra nahi sakte
Nahi tum jaa nahi sakte
Mujhe khud per bharosa hai
Aur Chahat per yaqeen sa hai
Ke tum ko laut aana hai
Meri Chahat ki shiddat
Tumhain bhi khench laayegi
Tumhain bhi ek na ek din
Mohabbat ho hi jaye gi
Jo Meri Ankhoon Say Khuwaab Dekho
July 23rd, 2007 § Leave a Comment
Jo Meri Ankhoon Say Khuwaab Dekho
To Aik Bhi Shab Na So Sakoo Gay
K Laakh Chaho Ca Hans Sako Gay
Hazaar Chaho Na Roo Sako Gay
K Khuwaab Kiya Hain Azaab Hain Yeh
Meray Dukhoon Ki Kitaab Hain Yeh
Refaqatein In Main Chutati Hain
Muhabbatein In Main Routhati Hai
Perti Hain In Main Wehshatein Si
Aziyetein In Main Photati Hain
Inhi K Dar Say Hain Khezan Main Jazbay
Inhi Say Shakhein Si Tootati Hain
Ghumoon Ki Bandish Hain Khuwaab Meray
Dukhoon Ki Baarish Hain Khuwaab Meray
Ubal Raha Hai Dukhoon Ka Lawa
Rahein Aatish Hain Khuwaab Meray
Kheyaal Saray Jheles Gay Hain
Sulagti Khuwahish Main Khuwaab Meray
Ukharti Sansein Hain Zindegi Ki
Hu Ki Sazish Hain Khuwaab Meray
Jo Meri Ankhoon Say Khuwaab Dekho
To Aik Bhi Sham Na So Sakoo Gay
Suna hai wakt marham hai
July 22nd, 2007 § 2 Comments
Suna hai wakt marham hai
Zamaanay bhar ke zakhmoon ka
So ek din bhar hi jaayenge
Jo ghau chorray jatay ho
Magar jab bhi koi sadma
Kaheen se bhi milay mujh ko
Ghamoon ki sab ruttoon mein tum
Bahut hi yaad aatay ho
Mujh say parda hai to phir khowab main aate kyun ho
July 22nd, 2007 § Leave a Comment
Mujh say parda hai to phir khowab main aate kyun ho
Pyar ki shama mere dil main jalate kyun ho
Alwida kehne ko aaye ho to milna kaisa
Hai bicherna to gale mujh ko lagate kyun ho
Dosti ho ke rahay aisa zaroori to naheen
Dil hi jab mil na saka haath milate kyun ho
Na laga pauon ga ilzaam main us per logo
Mere Mujrim ko mere samne laate kyun ho
meray ajnabi, meray ashna
July 22nd, 2007 § Leave a Comment
meray ajnabi, meray ashna
tu misar kay aiena khanay main
tery khalo-o-khad kay siwa mujhay
kahi aur kuch na dekhaye day
ye azab-e-tooq-o-rasan mera
kisi kasar khuwab-o-khyal tak
mery zehan ko na rasa’ye day
mujhay rasta na dekhaye day
tu ye chatt jo apnay saroo-n pay hai
ye jo baam-o-dar kay hisar hain
ye jo rutjagoo-n ki bahar hai
ye jo qurbatoo-n ka khumar hai
to isi pay kya shab umar ki sabhi rahtoon ka madar hai?
mery ajnabi, meray ashna!
ye jo shoor hai dil zar ka
kabhi is pay ghoor kya hai kya?
mery ajnabi merya ashna
kabhi kash tujh say main kah sakoo-n
kay ye sa’atain hain kathan bohat
meray zakham jaan kay tabeeb a’a
meray tan badan say bhi rabt rakh
meri roh kay bhi kareeb a’a
mery ajnabi mery ashana……!
teri chaahat ko har baat sey barrh kar chaaha
July 22nd, 2007 § Leave a Comment
PaaoN pheylae to phir dekhi nahi chaadar hum ney
tujh ko chaaha to phir aoqaat sey barrh kar chaaha
zeest aasaan bhi ho sakti thi hum par lekin
teri chaahat ko har baat sey barrh kar chaaha
Yeh Haseen Sham Apni
July 22nd, 2007 § Leave a Comment
Yeh Haseen Sham Apni
Abhi Jis Main Ghul Rahee Hay
Tiray Peyrahan ki khushboo
Abhi Jis Main Khil Rahay Hain
Mairay Khab Kay Shagoofay
Zara Dair Main Ufaq Par
Khilay Ga Koee Sitara
Tairee Simt Daikh Kar Woh
Karay Ga Koee Ishara
Tairay Dil Ko Aay Ga Phir
Kissi Yaad Ka Bulawa
Koee Qissa e Judaee, Koee Kaar e Namukammal
Koee Khab e Naashaguftaa, Koee Baat Kehnay Walee
Hamain Chahiaay Tha Milnaa
Kissi Ehd e Meharbaa’n Main
Kissi Khab Kay Yaqee’n Main
Kissi Aor Aasmaa’n Main
Kissi Aor Sarzamee’n Main
Hamay Chahiaay Tha Milnaa…
kesi k roth jane se
July 22nd, 2007 § Leave a Comment
kesi k roth jane se
kesi ki yaad aane se
hazaroon loug rote hain
k rona ek rawayet hay
rawayet torh jata hon
aap ki yaad aaane par
mai aksar muskarta hon
Yeh WehShat-Naak SaNnatey Yeh TAnhAii MUjhey Dey Do
July 22nd, 2007 § Leave a Comment
DUkhOun Kii Shidatien ZakhmOun Kii Gehraii mUjhey Dey Do
MaSeeha tUm Sahii Izn e MaSeehaii mUjhey Dey Do
TUm Apni Zaat Mein KhUd AnjUman Ho TUm Ko Kya Gham HAi
Main TAnhA HOn Yeh Bazm e zOuq e TAnhAii MUjhey Dey Do
TUm Apney Dil Key Darwazey MUkaffal ShOuq Sey Kar Lo
Bas Apni Zaat Sey Izn e ShanaSaii MUjhey Dey Do
TUmharey Baad Har Manzar MUjhey Be-Rung Lagta HAi
Yeh Aankhien Cheen Lo Yeh Apni Beenaii MUjhey Dey Do
Main SansOun Mein Samo LOon Ga TUmhrii Har Amanat Ko
Yeh WehShat-Naak SaNnatey Yeh TAnhAii MUjhey Dey Do
Meri ShOhrat TUmharey Kaam Aa Jaye To Haazir HAi
TUmhien DUnya Ney BakhShii hAi Jo TAnhAii MUjhey Dey Do
Main Shair hOn Meray Be-Kaif Be-TaSeer LafzOun Ko
Amar Kar Do TUm Apney GhUm Kii Ra’anaii MUjhey Dey Do
Kuch dair hamaray saath raho
July 22nd, 2007 § Leave a Comment
kuch dair humaray saath raho
is zahar bujhi tanhaye mai
ik umr guzari hai hum nay
din raat udassi sanso’n mai
chupkay say utari hai hum nay
kuch bat humaray dil ki suno
kuch apnay dil ki bat kaho
KUCH DAIR HUMARAY SAATH RAHO
hum pyaasay hain sehra ki tarah’n
tum behaty ho darya ki tarah’n
hum khusk jazeero’n k rahi
tum ho ghanghour ghata ki tarah’n
kuch dair humaray tanman mai
[khushbo ki tarah'n chup chap baho]
KUCH DAIR HUMARAY SAATH RAHO
To Us ke pass kaya rehta
July 20th, 2007 § 1 Comment
agar wo ansoo baha daita
to us k pass kya rehta
wo mujh ko husla daita
to us k pass kya rehta
nishaan mujh ko nahi milata us tak pohhonchnay ka
wo mujh ko apna pata bata daita
to us k pass kya rehta
wo us ka maan tha k jsi k daam say wo zinda hai
main us ka dil dhukha daita
to us k pass kya rehta
meri yadoon ne ab taak usay abad rakha hai
wo mujh ko bhula daita
to us k pass kya rehta…….!!
Tum Ajab ho
July 20th, 2007 § Leave a Comment
Tum ajab ho meri chaaHat ke nasebooN ki tarha
Munsalik ghaM ke tasalsuL ki gungari se
Bekaraari ki agar koi shakaL hoti to woh tuM hote
ya ke bus maiN hota
Tum ajab ho meri ankhon ki tarha
Apni weraNi se baahir ki ba’yabaNi ko takti huee
Aur bheegi huee
Jane kis khadshe maiN gum, soch maiN khoyee huee
Kuch socH kar ghbrayee huee
Tum ajab ho
Mere shehroN ki tarha
Raat ke jage huay
Dhuup maiN kumla’ye huay
Hijar ki rahguzarooN ki tarha
Bal main bal khaye huway
Duur tak chhaee huee
zard ghta’oN ki tarha
Tum ajab ho mere khuwabooN ki tarha
Umr se ujre huay bikhre huay,tarse huay
Tum ajab ho mere nainoN ki tarha
Barse huay, barse huay
Haath uThe haiN magar lab pay duaa koi naheeN
July 20th, 2007 § Leave a Comment
Haath uThe haiN magar lab pay duaa koi naheeN
Kee ibaadat bhi woh jis kee jazaa koi naheeN
Yeh bhi waqt aanaa thaa ab to gosh har aawaaz hai Aa keh ab tasleem kar laiN tu naheeN to maiN sahee Waqt nay woh Khaak uRaai hai keh dil kay dasht say Khud ko yuN mahasoor kar baiThaa hooN apni zaat maiN Kaisay raastoN say chalay aur kis jagah pahuNchay ‘Faraz’
Aur meray barbaad dil maiN sadaa koi naheeN
Kaun maanega ke ham maiN bewafa koi naheeN
Qaaflay guzaray haiN phir bhi naqsh-e-paa koi naheeN
ManzilaiN chaaroN taraf hai raasta koi naheeN
Ya hujoom-e-dostaaN tha saath ya koi naheeN
inhein aetbaar-e-Wafa tu hai mujhe aetbaar-e-sitam nahi
July 20th, 2007 § Leave a Comment
meri zindagi pe na muskara mujhe zindagi ka ilm nahi
jisse tere ghum se ho Vasta wo khaza-n bahaar se kum nahi
mujhe raas aay khuda karay ye ashtaba ki sa-tein
inhein aetbaar-e-Wafa tu hai mujhe aetbaar-e-sitam nahi
wohi karwa-n, wohi raste, wohi manzelein, wohi marhalay
mgr apne apne maQam per kabhi tum nahi kabhi hum nahi
na wo shan-e-jabr shabab hai na wo rung-e-Qehr-e-ataab hai
dil-e-beQarar pe hai in dinon sitam yehi k sitam nahi
na fana meri na baQa meri mujhe aay *shakeel* na dhoondeye
mae kissi ka husn-e-khiyaal hoon mera kuch wajood-e-adam nahi
Aakhri Khawahish
July 20th, 2007 § Leave a Comment
Meray sathi
meri rooh meray jism say parwaz ker jay
To loot aana
Meri bay khwab ratoon k azaboon per
Sisaktay shehr main tum bhi
Zara si dair ko rukna
Meray bay noor hoontoon ki duaaoon per
Tum apni sard paishani ka pathar rakh ker roo dena
Bas itni baat keh dena
“Mujhay tum say mohobbat hai”
ye shab-e-firaq ye bebasi hain qadam qadam pe udaasiyaa’n
July 19th, 2007 § 1 Comment
ye shab-e-firaq ye bebasi hain qadam qadam pe udaasiyaa’n
meraa saath koi na day saka meri hasaratain hain dhuaa’n dhuaa’n
main tarap tarap kay jiyaa to kya meray Khvaab mujh se bichhar gaye
main udaas ghar kii sadaa sahii mujhe day na koi tasalliyaa’n
chali aisi dard kii a’andihiya’n meray dil ki bastii uja.r gaye
ye jo raakh si hai bujhi bujhi hai isi main meri nishaaniyaa’n
ye fizaa jo gard-o-Gubaar hai meri bekasi ka mazaar hai
main vo phuul huun jo na khil sakaa merii zindagii main vafaa kahaan