kahin mile to usse kehna ke tanha sawan bita chuka hoon
December 31st, 2007 § 1 Comment
kahin mile to usse kehna ke tanha sawan bita chuka hoon
main saare armaan jala chuka hoon
jo sholay bharke the khuahishon ke
woh aansuon se bhuja chuka hoon..
‘kahin mile to usay yeh kehna k’
bagair uske udaas hoon main badalti rut ka qiyas hoon main
bhujade apni mohabbaton se sulagti sadion ki piyas hoon main
‘kahin mile to usay yeh kehna ke’ dia jo nafrat ka zehar usne
samajh ke amrit peeraha hoon k bari mushkil se jeeraha hoon
‘kahin mile to ussay yeh kehna k’
woh mere jazbe kuchal gaee hai
na badle mausam bhi itna jaldi woh jitni jaldi badal gai hai
‘kahin mile to ussay yeh kehna k’
fasl-e-nafrat gera raha hoon
gaye dino ko bhula raha hoon woh apne vaade se phir gai
main apne vaade nibha raha hoon
‘kahin mile to usay yeh kehna’ k
na dil main koi malaal rakhe hamesha apna khayal rakhe apne saare gham
mujhko dede aur tamam khushian sambhal rakhe
‘kahi mile to usay yeh kehna…….
kabhi jo mujh ko talaash kerna
December 31st, 2007 § 1 Comment
kabhi jo mujh ko talaash kerna
tou chand raaton ki chandni main
Gul-e-chaman say sawal kerna
udaas kiun ho??
kiun oos-Qatron main apnay aanso
chupaa rehay hoo
haseen mousam main kis ki yadoon main
apnay dil ko jala rehay hoo
Gul-e-chaman yeh sawal sun ker
tumhari aamad ka haal sun ker
kehay ga tum jis ko khoojtay hoo
woo in baharoon ki sari khushboo
churaa kay abb ik nay chaman main
Mehek raha hay
udaas ker kay yahan pay hum ko
kisi chaman main chehek raha hay
Gul-e-chaman ka yeh haal sun ker
tumhain lagay ga main baywafa hoon
udaas kalioon ko choor ker main
nai baharoon ko dhoondta hoon
mager haqeeqat main is chaman kay
tamaam phoolon ki khwahishon kaa
aur in ki nakkam kavishoon ka
haseen mousam ki barishoon ka
naa meray dil per aser hoa tha
naa meray dil per aser hoa hay
main aaj bhi ik nay chaman main
puranay qissay suna reha hoon
joo mere chahat ka devtaa tha
main aaj bhi us ko poojta hoon
yaqeen nahi tou palat kay dekho
waheen khara tha,waheen khara hoon
jo us kii yaad aatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
December 31st, 2007 § Leave a Comment
jo us kii yaad aatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
muhabbat ab satatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
tum un logon say hat kar bhi to zinda reh nahi saktay
yeh duniya dil dukhaati hai to kyon mehsoos kartay ho ?
barastay hain jo badal to utar jata hai bujh un ka
tumhien khwaahish rulaatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
wohii chashm e tasawar hai wohii hai dil ki halet bhii
wo soorat hashr uthaati hai to kyon mehsoos kartay ho ?
kaha tha kis nay rakho tum sunehray khwaab aankhon mein
aseer e neend urtii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
usii say miltii jultii hain adaaien sab balaaon kii
hawa pagal banatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
jisay tum chand kehtay thay wohi hai aankh mein roshan
agar shab jagmagatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
Us WaQe’ay kO Ab tO Kaii Saal hO Gaye
December 31st, 2007 § Leave a Comment
KhwaabOn Ki Dekh Bhaal Mein Aankhien Ujar Gaien
tAnhAiyOn Ki DhOop Nay Chehray jAla Diye
LafzOn Kay jOrney Mein Ebarat Bikhar Chalii
Aaiyena dhOondney Mein Kaii Aks KhO Gaye
Aaye Na Phir wO lOat Kay Aik Baar jO Gaye
wO Din, wO WaQt, wO Rut, wO mOusam, wO Sarkashi
Aey Gardisht e Hayaat, Aey Raftaar e Mah O Saal
Kya Jamma Is Zameen Pey Nahien hOngey Phir Kabhi ?
jO hUmSafar Farak Kii Daldal Mein KhO Gaye
Patay jO Girr Kay PaiR Say RastOn Kay hO Gaye
Kya Phir Kabhi Na lOat Kay Aaye Gii wO Bahaar
Kya Phir Kabhi Na Aankh Mein Utray Gii wO Dhanak
Jis Kay WafOor e Rang Say jhAlkii hOii Hawa
Kartii hAi Aaj Tak
Aik Zulf Mein Sajay hOye PhOolon Ka Intezaar
Lamhay Zamaan e HijR Kay Phailay Kuch Is Trah
Degay e Rawaan e dAsht Ki Tamsaal hO Gaye
Is dAsht e Pur Saraab Mein Bhatkay hAin Kuch Is Qadar
Naqsh e Qadam Thay Jitnay Bhi Pamaal hO Gaye
Ab tO Kahien Khatam hO Rasta gUmaan Ka
SheeShay Mein Dil Kay Sarey YaQeen Baal hO Gaye
Jis Waqe’ay Nay Aankh Say Cheenii Thii Meri Neend
Us WaQe’ay kO Ab tO Kaii Saal hO Gaye
Mujhey yaad hey – mujhey yaad hey
December 26th, 2007 § Leave a Comment
Mujhey yaad hey – mujhey yaad hey
wo kalaam ke jo na dhal sakaa
kisi lafz meiN
ye jo harf, harf parrha gaya
kisi aur baat ke zikr meiN!
kisi aur cheez ke dhiyaan meiN!
wo kitaab jo ke likhi gai
teri khaamshi ki zubaan meiN
mujhey yaad hey sar-e-raah-e-jaaN
wo chiraagh sa kisi aas ka
jisey aaNdhiyaaN na bujha sakeeN
ke wo roshni ki asaas tha
wo jo pehley pehley wisaal par
teri chashm-e-khush meiN rawaaN huwa
tery hijr ki shab-e-taar meiN
wohi jugnu’oN sa qaafla
mery raastoN ka shareek hey
wo jo harf tu ney ataa keeye
meri zindagi ki kitaab ko
ye tamaam rabt unhi sey hey
unhi mosamoN ki tarang ka hey jamaal ye
jo bahaar merey sukhan meiN hey
unhi sohbatoN ki umang ka hey kamaal ye
ke jo hoslaa sa thakan meiN hey…
~!! Abhii TO MUjh Ko JEena Tha !!~
December 25th, 2007 § Leave a Comment
~!! Abhii TO MUjh Ko JEena Tha !!~
Abhi TO RUtt Badalnii Thii
Abhi TO PhOol Khilney They
Abhi TO Raat DhAlnii Thi
Abhi TO Zakham Silney Thy
Abhi TO Sar-Zameen e jAan Pey
Eik BAdal Ko GhiRna Tha
Abhi TO Vasal Kii BaRish Mein
Nangey PaOun PhiRna Tha
Abhi TO KaSht e Gham Mein Eik
KhUShii Ka Khwaab bOna Tha
Abhi TO SainkrOun SOchii hOii
BaatOun Ko HOna Tha
Abhi TO SaahilOun Pey Eik
Hawa e Shaad ChAlnii thi
Abhi Jo Chal Rhi hAi
Yeh TO Kuch Din Baad Chalni Thi
Abhii tO MUjh Ko jEena Tha …!!
chalo kuch baat kertey haiN K
December 25th, 2007 § 1 Comment
chalo kuch baat kertey haiN K
khamoshion ka sehar totey
Chalo kuch baat kertey hain wafaon ki jafaon ki
Chalo kuch baat kertey hain
bicherney ki bikherney ki
bikher ker phir simatney ki
bicher ker phir se milney ki
main tum se door ho jaon tumhein
jab bhi talab ho mugh se milney ki
kisi veraan saahil per kharey ho ker
mughey awaaz deY lyna…
Teri palkon ki chokhat per agr
dastak de to samagh lena k
woh hon main
Chalo kuch baat kertey haiN K
khamoshion ka sehar totey.. !
kisi ko alvidaa kehna bohat takleef dey’ta hai
December 23rd, 2007 § Leave a Comment
kisi ko alvidaa kehna bohat takleef dey’ta hai
umeedaiN toot jaati haiN
yaqee’N pe be-yaqeeNi ka ko’haR kuch ay’esa chaRta hai
dekhaa’ee kuch nahi deta, sujhaa’ee kuch nahiN deta
dua k lafz hontoN peR musalsal kapkapaatay haiN
kisi khwahish k andaishay zehaN maiN do’eR jatay haiN
gumaa’N kuch aesa hota hai k jaisay mil na pa’yen gaiN
ye gehRay zakham fuRqat k kisi say sil na pa’yeN gaiN
kabi aisa b ho Ya Rab, tu dua’yaeN maaN laita hai
tuu koi moajzaa kaR day tuu aisa kaR b sakta hai
meRay haathooN ki jaanib dekh inhaiN tu bhaR b sakta hai
Juda’ee ki ye teekhii dhaa’eR diloN ka khoon kaRti hai
Juda’ee ki azi’at say meRa dil ab b daRta hai
Juda’ee do ghaRi ki ho to koi dil ko samjha’aye
Juda’ee chaaR pal ki ho to koi dil ko behlaa’aye
Juda’ee umeR bhaR ki ho to kya chaaraa karay koi
k ik milnay ki hasrat maiN bhala kab tak jee’ay koi
meray Moula kaRam kaR day Tu aisa kaR b sakta hai
meray haathoN ki jaanib dekh inhaiN Tu bhaR b sakta hai………..!!
Yaad ki rehguzar jis pay usi soorat say
December 23rd, 2007 § Leave a Comment
Yaad ki rehguzar jis pay usi soorat say
Mudat’taiN beet gaye haiN tumhaiN chaltay chaltay
Khatm ho jay jo do chaar qadam or chaloo
Mor parta hai yahaN dasht-e-faramoshi ka
Jis say aagay koi na maiN na tum ho
Saans thamay hai nigahaiN keh janay jis dam
Tum palat jaoo, guzar jaoo, ya mur ker daikho
Gerchayh waqif haiN nigahaiN keh yay sab dhoka hai
Ger kaheen phir say hum aagosh hoi tum say nazer
Phoot niklay gi wahaN koi or rehguzar
Phir isi trha jahaN ho ga muqabil paiham
Sayaa zulf ka or junbish bazoo ka safer
Dosri bat bhi jhooti hai k dil janta hai
HaaN koi mor, koi dasht koi ghaat nahiN
Jis k parday maiN mera mah rawaN doob sakay
Tum say chalti rahay yay rah younhi acha hai
Tum nay mur ker bhi na daikha to koi bat nahiN!!!
maiN kahti teri chahat ki fiza maiN punkh bharooN kesay
December 23rd, 2007 § Leave a Comment
maiN kahti teri chahat ki fiza maiN punkh bharooN kesay
wo bola k bichri huwei koonj k tootey huwey par se
maiN kahti thei samandar maiN khushi k kis tarha utrooN
kaha be-aa’b mahi ka sa paira’haN pahan dekho
maiN kahti thei chalo itna tu ho gha dard ki zanjeer tootey ghi
wo bola khawab-e-zeest ki teray taa’beer tootey ghi
maiN kahti thei tu kia ye tey hai k meray khawab jhoothey they
wo bola haaN yehi tey hai teray tumhaa’ray lufz jhoothey they
maiN kahti thei sara’bi hum they ya ye dunia he dhooka thei
wo bola baat hai itni tumhari payaa’s zaida thei
maiN kahti payaas asi hai k dar’yaa khud pukaa’ray gha
wo bola haar jaa’oo ghi suno waa’pis palat jaa’oo
maiN kahti thei meray baad tum tanhaa na rah jaa’oo
wo bola halqa-e-yaaraa’N bohat hai saath dainay ko
maiN kahti thei bohat mumkiN hai ye dukh jaaN lay jaa’ey
wo kahta tha tumhaiN kitna hai dukh maiN aazmaa’ooN gha
maiN kahti thei kaho itna kahaN taak aazmaa’oo gay’ay
wo bola bus wahaN taak , jab tum apni jaa’N se jaa’oo gay’ay
phir us k baad kitni dair taak maiN kuch nahi boli
khuda shahid hai sub kuch hoga laikiN hum naheeN hongey
December 12th, 2007 § 2 Comments
Jo tum aao’ge phir aankhoN k darya num naheeN hongey
khuda shahid hai sub kuch hoga laikiN hum naheeN hongey
yaqeen jano tumhari qurbataiN bhi hashr dhayen gee
K armanoN k aanga’rey to hargiz kam naheeN hongey
ghamoN ki ta’an tootay gee na ubhray gee na phayle gee
ye hai saaz-e-mohabat is mein zer-o-bum naheeN hongey
tumhari yaad se khelaingey tanhai ki mehfil meiN
wohi urtey huwe lamhey jo sirf-e-ram naheeN hongey
mera maslak khuloos-e-ishq ka mafhoom rakhta hai
mere sagar mein sub kuch hoga laikin sum naheeN hongey
wafa ne ek hayat-e-mustaqil hum ko aata ki hai
k hum zinda raheinge garche baqi dum naheeN hongey
pahaN kar aa’eenay phirti rehi dewanghi apni
December 12th, 2007 § Leave a Comment
sekhawat ka namood-afrooz manzar he nahi aa’ya
saa’khi bethay rahay koi guda’ghar he nahi aa’ya
ye soocha tha teri khaa’tir koi moti niqalooN gha
maiN jis rastey maiN tha is maiN samandar he nahi aa’ya
pahaN kar aa’eenay phirti rehi dewanghi apni
tamana thei bohat jis ki wo pather he nahi aa’ya
bharhiN bailaiN jharay paa’tey lagay jaalay dareechoN per
makeeN ay’saa gaya ghar se palat kar he nahi aa’ya
chamak jis ki bula laiti uqaa’booN ko nashay’mun se
fizaa’ooN maiN koi aisa kabooter he nahi aa’ya
dafenooN ki tarha dil maiN khizanay rah gaye saa’ray
samandar kai karay koi shana’war he nahi aa’ya
dee’ya he jab nahi ho gha hawa kis ko bhuja’ey ghi
chiraag-e-rah maiN ab k jala k he nahi aa’ya
meRi soch kay thehray paani meiN
December 12th, 2007 § Leave a Comment
meRi soch kay thehray paani meiN
teray naiN kanwal jab hanstay haiN
meray dhiyaan kay ujlay aangan meiN
jab subha, sitaaray chunti hai!
jab shaam koi surr buntii hai
jab andaish’oan kee baahooN meiN
teray saans ka raisham khulta hai
jab harray kachoore khyaal’oan meiN
teray jazboan ka zarr ghulta hai
mein sochta hoooN in rastooN meiN
ham kitnee dair kay baad millay!
jab kitnay mausam beet ga’ay
is karb kathore musaafat mein
dil sadiyooN chiknaa chooRe huwa
is hijR kay taptay sehraa mein
kia ghazlaiN theiN jo raakh hoo’eiN
kia neend’ain thein jo khaak hoo’eiN
ham kitnee dair kay baad millay
kab itnee dair kay baad millay?
yeh dair bhi kia, jab aankh’oan kay
sab aansoo ab marjaan hoo’ay
sab aablay phoote kay toote ga’ay
sab zakhm hoo’ay yaqoote sifft
yeh ajar hai hijr kay mausam ka!
khud quuRb ke routt gull’paash hoee
teray nain kanwal khud bole paraaya:
teray saat’oan surr’oan kay sargam ka
sab sona meray naam hoo’a__!
ab teraY quuRb mein sochta hoan
yeh sadiyoan baad ka behlaawa!
ik khwaab sarishtt saRaab na ho
yeh roope sawaal na ho ja’ay,
yeh khwaab, khyaal na ho ja’ay
yeh raahat, karb anjaam na ho
teray saath surr’oan kay sargam ka
sab roope khazaana sab sona
kisi aur sakhii kay naam na ho!!
jab shaam dhalay youn sochta hooN!
mein sochta hoan keoN sochtaa hooN?
meRi soch kay thehraY paani meiN
teraY nain kanwal jab hanstay hain
Bohat haseen hain teri Aqeedaton ke gulaab
December 11th, 2007 § 1 Comment
Bohat haseen hain teri Aqeedaton ke gulaab
Haseen tar hay magar har Gul-e-Khyal tera
Hum aik dard ke rishtay main munsalik dono
Tujhay aziz mera funn mujhay jamaal tera
Magar tujhay nahin maloom qurbatoon ke alam
Teri nigaah mujhay faaslon se chaahti hai
Tujay khabar nahin shayd ke khalwaton main meri
Lahuu ugalti hui zindagi karaahhti hai
Tujhay khabar nahin shayd ke hum wahan hain jahan
Yeh funn nahin hay azeeyut hay zindagi bhar ki
Yahan Gul-o-e-Januun per qamannd parti hai
Yahan qalam ki zubaan per hai nook khanjjar ki
Hum us Qabeela-e-Wehhshi ke daivta hain ke jo
Pujariyon ki aqeedat pe bhool jatay hain
Aur aik raat ke ma’abood subhay hotay hi
Wafa parasst Saleebon pe jhool jatay hain
maiN kahti thei suno saahir meri hasrat teri aa’nkhaiN
December 10th, 2007 § Leave a Comment
maiN kahti thei suno saahir meri hasrat teri aa’nkhaiN
wo kahta tha maiN likhta hooN teri taqdeer ye aa’nkhaiN
maiN kahti kia teray seenay maiN ab bhi zakham jaltey haiN
wo bola haa’N kabhi bhojal kabhi madham se jaltey haiN
maiN kahti thei suno saahir ye saray gham mujhay day do
wo bola phir kaho ghi aa’nkhooN k saa’ray num mujhy day do
maiN kahti haan in aa’nkhooN maiN ho num acha nahi lagta
kaha seenay se dukh hooN kam mjuhay achaa nahi lagta
maiN kahti thei janoo’N aur intiha achay nahi hotey
wo bola in k biN jazabay kabhi suchay nahi hotey
maiN kahti thei chalo itna kaho dukh meray bantoo gaye
bohat hayrat se taab bola tumhaiN kis baat ka dukh hai
maiN kahti be-panah yaadaiN teri dukh dard haiN meraa
wo bola rah chalti yaa’dooN ko keoN ghar bulatey they
maiN kahti thei tumhari aa’nkhooN ko likhnay ki chahat thei
wo bola ye afsaa’nay kita’booN maiN he sajtey haiN
suno ke raigzaar-e-umr ka yeh aakhri zarra
December 6th, 2007 § Leave a Comment
suno ke raigzaar-e-umr ka yeh aakhri zarra
meri be- jaaN hathaili sey…phisalta ja raha hey ab
meri guzri musafat ki thakan ab ood aai hey
merey qasid…suno..janay say pehlay itna kehna hey
mere ujary shehar ke un gali koochoN maiN jao tou
jahaN bachpan bitaya tha…jahaN sab kuch ganwaya tha
tou us weeran khandar ko..payaam-e-aakhri daina
waheeN aangan maiN dayeN hath pe…ik pairr daikho gay
usi boorhay shajar ke… sin raseeda say badan par tum
mere bay rang hathoN ki lakeeroN ki tarha…ik jaal daikho gay
usi peepal ki chaaooN maiN…
kisi masoom ke dil ne..kaii sapnay sajaye thay
kisi ki aankh ke aansu…kisi dil ne bahaaye thay
kisi ki jheel ankhoN ney…kaii saagar lutaye thay
bohat narmi say us peepal ko chuh kar..itna keh daina
ke ab aankhoN ke yeh darya…kahiN saagar nahiN rotay
muqaddar jinka sota hai….kabhi phir woh nahiN sotay
usay kehna mere qasid..!
jinhoN ne umr sari teri chaooN maiN basar kar di
woh aakhir pal tumharay pas aa kar..kuch na keh paye
lipat kar tum say ro laiN gay..agar duniya maiN reh paaye
suno qaasid..!!
wahaN say chand qadam ke faslay par…aik chokhat hey
wuhi chokhat hey yeh piyaray…
jahaN sajday kiye hum ney…jahaN par zindagi haari
jahaN kuch pal jiye hum ney….jahaN par jaan yeh waari
jawaaN margi pe meri shehr yeh maatam kunaaN hoga
magar…us aik chokhat par…ajab sa hi samaaN hoga..
wahaN raqsaaN sabhi chehroN pe kuch ra’aniyaaN hoNgi
wahaN bajti chaharoN su…bohat shehnaiyaN hoNgi
wahaN jiski nazar maiN jeet janay ki thakawat ho
magar…us dil nasheeN chehray pe..gehri muskurahat ho
samajh laina mere qaasid…yehi qatil mera thehra..!
meri aankhaiN yeh lay jao…mera yeh kaam kar daina
usay ji bhar ke takna tum….meri ankhoN maiN bhar laina
usay chupke say keh daina
“tumhari jeet ki khatir…yeh baazi jis ne haari hey….
nahiN tum ho sakay uske….woh mar kar bhi tumhari hey…
“nahiN…balkay…mere qaasid…
usay tum kuch nahiN kehna
By Mehroo
wo kahta tha aqee’dat ye ibaa’dat he na bun jaa’ey
December 6th, 2007 § Leave a Comment
maiN kahti thei milay jab hum wohi qisa tu duhraa’oo
wo aa’nakhiN moond k bola bari lambi kahaa’ni hai
maiN kahti thei kahaa’ni ko bhalaa kis more pe choraiN
wo bola jab ye do kir’daar rishta saans ka r tuu’raiN
maiN kahti thei k har lamha ye dil maiN waswasa keoN hai
wo bola tha prindooN se b naa’zuk dil tumhara hai
maiN kahti thei k apnay ap udaasi ka maiN ghoo’sha hooN
wo bola ghum zada hooN maiN mujay gho’sha nashe’N kar do
maiN kahti thei teray lahjay ki rim-jim ka sabab kia hia
wo bola is lee’ay k jal-tarang dil jheel maiN bikhray
maiN kahti thei aqeedat kai ibaadat kis ko kahtey haiN
kaha jhuk’ti jabeenoo ko uthay haa’tooN ko kahtey haiN
maiN kahti thei jabeen-o-hath ka ta’luq bhla kia hai ibadat maiN
wo kahta tha likhi jaa chuki donoo pe taqdee’raiN
maiN kahti thei do apna haath jabee’N rakh dooN hatheli pe
wo kahta tha aqee’dat ye ibaa’dat he na bun jaa’ey
ik haraf ki kirchi kahiN seenay main chubhi thei
December 4th, 2007 § 1 Comment
ik dil maiN tha ik saa’mnay dar’yaa usay kahNa
mumkiN tha kahaN paa’r utarna usay kahNa
hijraa’N k samandar maiN hay’Ola tha kisi ka
amkaa’N k bhanwar se koi ubhra usay kahNa
ik haraf ki kirchi kahiN seenay main chubhi thei
pahroon tha koi toot k roo’ya usay kahNa
jaati thei koi raa’h akeli kisi jaa’nib
tanha tha safar maiN koi saa’ya usay kahNa
har zakham dharkaN maiN ki sadaa ghoonj rehi thei
ik hashar ka tha shor sharaba usay kahNa
ye kesa Alwidai geet gaaya december ne
December 2nd, 2007 § Leave a Comment
ye kesa Alwidai geet gaaya december ne
jatey jatey nargissi mausam ko rulaya
khain pe lalazar banya
gulab motia chambeli se
tulip ki larioon se goond ke
pyar ke rangoon se sainch ke
parioon si khawishoon ke jhoormat
main
hamrieen laboon pe
duaaon ke alwidi kalmaat
tum hamesh raho mere saat
marmareen hatehlioon pe naii
umeedoon ke roshan chiragh
sadioon se chand ke devi
kaat rahi hai charqha
narm narm galoon se
prem ki dhank se dhunak rahi hai
hur ane wali subha ko
Rub ne dia hai sub ko ye hi pegham
ajj jati december ki sham
insaanyat ke naam
mohabbat azaadi shanti amaan hai
sub ki jaan
nafratoon ko kar do tammam
choti se hasti hai ye
pyar se basti hai
hamesha se hai
hamesha rahingain
Main or Nelaa Asmman
wo lamhay……..
December 2nd, 2007 § Leave a Comment
wo lamhay……..
soch ki dahleez pay thehRay huwey haiN !
DecembeR k maheenay maiN
hazarooN saal pahlay jab
teRay waday K hontooN ne
meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Hath Choomay Thay
meri Bayrang Batoon K Kinaray
Tum Nay Kwabon K
Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay !
auR
Hawa Ko apni Chahat Ki
ifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa
Hawa Ki Khunkiyon main ab Bhi Teri naram batain
aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian
Sama’at ….ab Bhee Teray
Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay
Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say
meray Dil K Surkh Ansoo Pochta Hay!
Nigahain Baraf K Phelay
chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa
Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay !
Tehtartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop
Tera Bagair rooti Hay
Kahan Hota Hay Too
Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay
December ….
ab Bhi Tera Muntazir Hay !
Iss shehar tazabzub main hum baat karain kaisay
December 1st, 2007 § Leave a Comment
Mera tamam Fann , Meri Tamam Kaavish , Mera Riyaaz
Aik Natamam Geet kay misray hain jin kay Beech
Maiynay Ka Rabt hai Na kisi Kaafiya Ka Mail
Anjaam Jis ka Taye na Hua hoo Aik aisa Khel hai
Meri Maata Bas yahi Jadoo hai Ishq Ka
Seeka hai jisko main nay bari mushkiloon kay saath
Lekin ye sehar -e-Ishq ka tohfa ajeeb hai
Khulta nahin hai kuch haqeeqat main kiya hai ye
Taqdeer ki Ata hai ya koi saza hai ye
Kis sey kahain aye jaan! kay ye Qissa ajeeb hai
Kehnay ko yoon tu ishq ka jadoo hai meray paas
Seenay sey aik pahaar sa hathta nahin hai ye
Lekin Asar k baab main halka hai Iss Qadar
Tujh per Agar chaloon tu chalta nahin hai ye
Iss shehar tazabzub main hum baat karain kaisay
Din kaat kay hairaan hain Ab raat karain Kaisay!!!!!!!!!!