Home > Urdu Poetry > mujhe maaf ker de mere hum-safaR

mujhe maaf ker de mere hum-safaR

mujhe maaf ker de mere hum-safaR, tujhe chahna merii bhool thii
kissi raah pe jo uthii nazaR, tujhe dekhna merii bhool thii

koii nazm ho, koii ghazal ho, kaheeN raat ho, kaheeN sehaR ho
wo galii galii, wo shehR shehR, tujhe dhoondna merii bhool thii

tere ghum kii koii dawa nhe, mujhe tujh se koii gila nhe
mera koii tere siwa nhe, yehii sochna, merii bhool thii

Categories: Urdu Poetry
  1. January 31, 2008 at 9:14 am | #1

    Zubaan khaamosh hoti hai, nazar se kaam hota hai
    Isi pal ka zamaane mein mohabbat naam hota hai
    Yeh voh ehsaas hai jisko na lafzon ki zaroorat hai
    Jisse paakar lage saara zamaana khoobsurat hai
    Badal jaate hai sab aasaar jab yeh pyaar hota ha

  2. January 31, 2008 at 9:15 am | #2

    Zakham aisa diya ki koi dawaa kaam naa aayi,
    Aag aisi lagi ki Paani se buj naa payi,
    Aaj bhi rote hai unki yaad me….
    Jinhe humaari yaad aaj tak naa aayi…

    kabhi_socha_na_tha_2007@yahoo.com

  3. January 31, 2008 at 9:16 am | #3

    Tab tak Pyaar se Pyaar Karo…
    Jab tak Pyaar aapse Pyaar naa kare…
    Aur jab Pyaar aapse Pyaar kare…to Pyaar se itnaa Pyaar karo…
    Kii Pyaar kisi aur se Pyaar naa kare…!!!

    kabhi_socha_na_tha_2007@hotmail.com

  4. January 31, 2008 at 9:16 am | #4

    Jahaan kii Gurbat me sukun nahi aayega,
    Gam-E-Tohin se kubul nahi aayega,
    Maklul kii fitrat hai ye kafir…
    Dimaag phatt jaayega par ye sher samaj nahi aayega…!!! !

  5. January 31, 2008 at 9:17 am | #5

    Aansu aankh se kabhi girne na paye!
    Na dard ho aapko na kabhi chot aaye!
    Mere hisse mai khushiya zyada to nai!
    par rabb kare wo bhi aapko mil jaye

  6. January 31, 2008 at 9:17 am | #6

    My eyes R hurting coz I can’t C U,
    My arms R empty coz I can’t hold U,
    My lips R cold coz I can’t kiss U but,
    My heart is breaking coz I’m not with U! MISSING U!

  7. January 31, 2008 at 1:33 pm | #7

    :hmmm:

    nice poetry akash. who r u?

  8. SAMI
    August 5, 2008 at 3:21 pm | #8

    NICE UR SHAYERI AND GAZALS////////////.

  9. SAMI
    August 5, 2008 at 3:22 pm | #9

    Ek pyasi raat k baad. . . .
    jab jazbaat ka garhabhar ke
    ye nigahe tujhe dhundti hain
    to aankho se aansoo nikal hi aate hain. . . . . ,

    Ye hasrato bhara jism jab
    shidat se teri tanhai ko
    mehsus karta hai to pholo
    se shabnam k katre gir hi
    jate hain. . .. . . . .. . . ,

    jab is naram bistar me bi
    kanto si chubhan lagne lagti
    hai to nochte nochte kuch
    khoon k katre bhe hi jate
    hain . . . . . . . ,

    ye aankhe jab bi un laal
    honto ka nazara karti hain
    mere honto pe pyas se
    bilakti zuban aa hi jati
    hai . . . . . . . . ,

    jab bi us k suraayi se badan
    ko hatho me leta hu najane
    kyun ye dil ki dhadkan ruk
    si jati hai. . . . . ,

    ye paao jab khud meri
    beriyaan ban jate hain
    bazar se kayee mohabat k
    kafile mikal hi jate hain. . . . . . ,

    ye gazlon ka silsila hua kuch
    yun shuru wo jhalak dikhati
    ni k in shero ki aamad ho hi
    jati hai . . . . . ,

  10. SAMI
    August 5, 2008 at 3:23 pm | #10

    ye gazal meri hai plz tell me kesi hai>>>>>>..

  11. SAMI
    August 5, 2008 at 3:24 pm | #11

    ~*Waada jo kia tha hamesha sath chalne ka
    aj wo waada kahin fana ho gaya*~.

    ~*Waada kiya tha sath nibhainge hamesha.
    Najane kyun mera wo humsafar khafa hogaya*~.

    ~*na kaho usko bura wo aj bhi mera hai.
    Mujhse juda ho kar wo kyun aj khush hogaya*~.

    ~*dua hai meri rab se wo khush rahe hamesha.
    Mohabbat hamesha sache dil se karo*~.

    ~*kabhi kisi ko dhokha mat dena yaaro.
    Itna yaad rakhna, dhoka tmhe koi de jayega.
    dil ek kanch ka tukra hai gir jaye to bikhar jayega*~.

    Comments plz………..,

    ~*MOHABAT*~………,

  12. SAMI
    August 5, 2008 at 3:26 pm | #12

    my id samibhinnot@hotmail.com

  13. August 26, 2009 at 9:30 am | #13

    Ye dua hai ke tumhari zindagi sawar jaye,
    Har nazar mein bas pyaar nazar aaye,
    Tumhein jis ki talaash hai,
    Khuda kare woh khud tumhari talaash mein aaye.

  14. September 28, 2009 at 1:04 pm | #14

    beautifullll ali

  15. ABDULLAH MEMON
    October 24, 2009 at 11:40 am | #15

    Bay los wafaoOn ka sila Yoon na dia karo
    Apnoon ko bhi nazdeek say jaan lia karo
    Hamesha khud ko dekh khush hotay ho
    Kabhi doosroOn ki takleef ka bhi ehsas kia karo
    Hum na hongay to kon manaye ga tumhain
    Yeh galat baat hay k har baat par Rootha na karo

  16. ABDULLAH MEMON
    October 24, 2009 at 11:44 am | #16

    Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
    Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

    Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
    Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker

    Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
    So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker

    Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
    Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Banker

    Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
    Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Banker

    Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
    Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vada Banker

    Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
    Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker

    Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
    Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

  17. October 26, 2009 at 1:43 am | #17

    very goood

  1. No trackbacks yet.