~~ Sitaray ~~


Sitaaray Tuut kar kahaaN jaatay haiN
Falak kii Shaakh say jharrtay huway ye atlasii pattay
zameeN kii simt Aatay haiN tou in kii Aakhri saansaiN
damakti aur chamakti Roshnii kii
LehroN kii shakaL chaltii haiN
bazaahir aesaa Lagta hay, wahaaN
bastii ke Uss jaanib kisi jungle kii wuss‘at meiN
kisii parbat ke seenay par
giraa hogaa kahiiN malbaa
Ussi khush-rang taaray kaa
jo ab say saaneya bhar qabal roshan thaa
chamakta tha, damakta tha, falak par jagmagata tha
magar ab uss ke honay ki nishaani tak nahiN milti
Nazar haeraan hotii hay
ke jo kondaa saa lapka thaa
Ussay ab kis tarhaaN dhundaiN, kahaaN dhundaiN
khalaa andar khalaa ik khaamashi hay aur dehshat hay
nazar kay waahimay haiN ya gumaaN haiN
kuch nahiN khultaa
sitaarey Tuut kar kahaaN jaatey haiN
Kuch nahiN khulta!

By: AIA

تبصرہ کریں