Posted by: Some One Some Where | April 18, 2008

Sochtaa hooN key mohabbat sey kinaaraa kar luuN

Sochtaa hooN key mohabbat sey kinaaraa kar luuN
Dil ko begaanaa-e-targheeb-o-tammanaa kar luuN

Sochtaa hooN key mohabbat hai junuun-e-rusvaa
Chandd bekaar-se behuudaa KhayaaloN kaa hujuum
Ik aazaad ko paaband banaaney ki havass
Ik begaaney ko apnaaney ki say’ee-e-maouhuum

Sochtaa hooN key mohabbat hai suruur-e-masti
Iski tanveer mey raushan hai fazaa-e-hasti

Sochtaa hooN key mohabbat hai bashar ki fitrat
Iskaa mitt jaanaa, mitaa dainaa bohot mushkil hai

Sochtaa hooN key mohabbat sey hai taabindaa hayaat
Aap ye shamaa bujhaa denaa bohut mushkil hai

Sochtaa hooN key mohabbat pey karee sharteyN haiN
Ik tamaddun mey masarrat pey baree sharteyN haiN

Sochtaa hooN key mohabbat hai ik afsurdaa see laash
Chaadar-e-izzat-o-naamuus mey kafnaayi huee
Daur-e-sarmaayaa ki raundi huee rusvaa hasti
Dargah-e-mazahab-o-ikhlaaq se thukaraayi huee

Sochtaa hooN key bashar aur mohabbat kaa junuuN
Aisi boseedaa tamaddun sey hai ik kaar-e-zabuuN

Sochtaa hooN key mohabbat na bachey gee zindaa
Pesh-az-waqt ki sarh jaaye ye galtee huee laash
Yehi behtar hai ki begaanaa-e-ulfat ho karr
Apne seeney mey karuuN jazb-e-nafrat ki talaash

Aur saudaa-e-mohabbat sey kinaaraa kar luuN
Dil ko begaanaa-e-targheeb-o-tamannaa kar luuN…

Responses

Mohabbat Aag Hai To Phir
Merii Rug Rug Mein Bharkii Hai
Meri Aankhien Hain Eik Shola Meri Saansien Hain Eik Agan
Alaao Teri Yaadon Ka Meray Dil Mein Kahien Roshan
Mujhey Ab Fikr Hai Koii Na Koii Gharz Hai Is Sey
K Teri Yaad Mein Shab Bhar
Wafa Ka Naam Ley Ley Kar
Khien Hum Khud Hii Jaltay Hain Ya Key Deep Jaltay Hain.
…………………………………….
Humien Tum Sey Mohabbat Thii
Humien Tum Sey Mohabbat Hai

Leave a response

Your response:

Categories