Main sab wafaoon ki ibtada hoon mujhay duaaoon main yaad rakhna
Main jazab e ulfat kee intaha hoon mujhay duaaoon main yaad rakhna
Teri muhabat ki saatoon main teri judai kay rutjagoon main
Main dard lamhay guzarta hoon mujhay duaaoon main yaad rakhna
Bichar gay hain tou aab najanay kiya hal hai magher main
Shikasta khowab o shikasta paa hoon mujhay duaaoon main yaad rakhna
Tumaray gum kay lamhay aazab ban ker uter rahay hain
Main kitnay sadmay utha raha hoon mujhay duaaoon main yaad rakhna
Posted in Urdu Poetry
