Archive

Archive for June, 2008

kuch barg-e-zard hi reh gaey….!

Merey be-khabar
merey roz-o-shab k naseeb meiN
terey baa’d dard hi reh gaey
merii chaahtoN ki ameen jheel k paaniyoN pe
Kanwal ka aik bhi phool kab sey khila nahiN
kisi raaj-huns ney……
chaahatoN ki koi kahaani raQam na ki
kisi door-deis sey panchhiyoN ka
MohabbatoN bhara Qaafla na utar saka
kai abr lamhey guzar gaey
Meri pyaas pyaas hi reh gai
kisi uRtey Punchi k geet meiN
teri waapsi ki naveed ho
meri aas aas hi reh gai
teri qurbatoN ki tamaazteiN meiN na chuh saki
Merey haath sard hi reh gaey
Chali aesi hijar ki aandhiyaaN
meri shaakh-e-jaaN sey
tumhaarey lams k Phool
saarey hi jhaR gaey
kai mosamouN sey ye haal hey
Meri Shaakh-e-jaaN na hari huwii
aur Phool chunney ki chaah meiN
merey haath meiN teri yaad k
kuch barg-e-zard hi reh gaey….!

Categories: Urdu Poetry

dil hi tau hai na sang

Categories: Video songs & ghazals

Bazicha-e-Atfaal hai

Categories: Video songs & ghazals

Raat khamosh hai

Categories: Video songs & ghazals

Mujhko Yaqeen hai

Categories: Video songs & ghazals

Kahan laut kur koi aaye ga, jo guzar gaya su guzar gaya

Ye safar bhi kitna taweel hai, yahaan waqt itna qaleel hai
Kahan laut kur koi aaye ga, jo guzar gaya su guzar gaya

Wo wafaeiN theeN k jafaeiN theeN, na soch kis ki khataaiN theeN
Wo tera hai ussay galay laga, jo guzar gaya su guazr gaya

Koi farqaey shah o gada nahi k yahaan kissi ki baqa nahi
Ye ujaaR mehlooN ki sun sada, jo guzar gaya su guzar gaya

Tujhay aytebaar-o-yaqeen nahi, nahi duniya itni buri nahi
Na malal kur meray saath aa, jo guzar gaya su guzar gaya…

Categories: Urdu Poetry

Kaha Dil, ney zara thehro

Kaha Dil, ney zara tehro
key aise he koi sa’aat, hamarey dar per tehri thee
to hum ney bheer sey ik qaaafley ka roop dhara tha
chalo phir laut ker deikhein
woh khushbo sey bhara raasta
jo manzil ki nishane tha (kahan khooya!)
yeh jo uljhan bharey manzer hamarey saath chaltey hein
kahan key hein … ?
woh kaisa mour tha jis per
hamare rehguzer key hashiyoon per dhund utri thee!
yeh jo charoon taraf pag-dandiyoon ka jaal pheila hey
kahan bunyaad hey is ki?
woh jo nisf safer mein khawaab key tukrey huey, is mein
hamare kaj rawe kia thee, aadoo ka haath kitna tha?
safer ki ibtiidaa mein qatel they
jinhoon ney adel key tukrey kiye aur aashtee ka khoon bahaya tha!
aur un key baad jo aye woh kitney bad iradah they!!
mein jab is khooj mein nikla
key merat muhsinoon key khuwaab ka khushbo bhara raasta
(jo manzil ki nishane tha) kahan khooya!
to aisa tha key rastey mein, mein jis bhe mour per tehra
wahan ik dard ka darya muqabil tha
nidamet ke ghutan her ik qadem per saath thee meray
so, mein is khuwaab key senay sey lag ker
deir tak rooya,
bohat rooya.

Categories: Urdu Poetry

Merey Chaarah-gar ko naweed ho….!

Merey Chaarah-gar ko naweed ho
wuh jo dil meiN jeeney ki Chaah thi
wuh jo dard tha
wuh jo zindagi sey judaai ka mujhey khauf tha
issi khauf sey mera por por bhi zard tha
wuh jo aas thi
jisey thaam kar meri saans chalti thi raat din
wuh jo khawaab thaa
jissey khud meiN bharney ki chaah meiN
meri aankh jalti thi raat din
Merey Chaarah-gar ko naweed ho….!
merii aas aur merey khawaab-e-jaaN
meri chahateiN sabhi jal bujheeN
keh…..wuh aur zehar na dey mujhey
meiN kabhi ki khud sey bichhaR chukii
keh………meiN ”mar chuki

Categories: Urdu Poetry

jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

isay yaad rakhna muhaal tha mujhay bholnay par malal tha
meri fikar ko jala mili woh tera hi hushn-e-khyaal tha

kabhi gardish-e-waqt nay aj tak meray hoslay ko na maat di
jo hawa kay rukh pay tha sofishaa’n woh mera hi husn-e-khyaal tha

ye har ek sham diya jala kay hawaoo’n say mera pochna
tum hi kuch bataoo kay kya huwa mera akhri jo sawal tha

faqt ek zarb-e-khafeef say mera abgeena bigar gya
jo bikhar gya to pata chala kay simtna kitna muhaal tha

ram-e-ah’ho jasay gureezpa ho khud agehi kay saraab mai
wohi hijratoo’n ka fareeb tha wohi gham-e-dil ka ghazal tha

koi kya bataye kay zeest mai na kashish rahi na maza raha
jo guzar gya woh shabab tha jo bikhar gya woh jamal tha

Categories: Urdu Poetry

kay shab safar ki hai aur dasht karbala ka hai

shab-e-firaq ye ehsaas kis bala ka hai
kay dil chiragh hai aur samn’a hawa ka hai

sabhi hain noha balb kon kis ka dukh bantay
yaha to jo bhi hai ek marsia wafa ka hai

isay to khair say behud shooq-e-bakhia giri
magar sawal mery zakhm ki an’a ka hai

dar-e-qabool ko zid hai udhar kay bund rahay
magar yaha bhi kisay hosla dua ka hai

tabeeb-e-dil hai, magar hal-e-dil say begana
ajab haal mery dard ashn’a ka hai

chirag-e-jaan hai salamat to khariet jano
kay shab safar ki hai aur dasht karbala ka hai

Categories: Urdu Poetry

meri rah rehnay dou khar khaar kay meray liye to yehi bahar hai

teray tabsray hain bekhabar meri dastan-e-hayaat say
tu keh raha hai dil jisay meri khawahishoo’n ka mizaar hai

tera shukria aye tabbeb-e-jaan, ye khaloos apni jaga magar
teri masehaye bhi kya karay mera dard hi beshumar hai

meray rastoo’n jo agya meray kafiloo’n ko jo kha gya
woh toofa’n to kub ka guzar gya magar dil mai ab tak gubaar hai

aye mehrbaa’n dost sun meri mushkiloo’n ko samjh kay mai
teri mohabatoo’n ka kya karo kisay dil pay ab ikhtyaar hai!

naye mousamoo’n ko bulaoo mut kay mujhay khushbu’aon ki talab nahi
meri rah rehnay dou khar khaar kay meray liye to yehi bahar hai

jo nafratoo’n say julas gya usay dil say saray dua’ain dou
par us sitam zada ka kya karay jo muhabatoo’n ka shikaar hai!

Categories: Urdu Poetry

agar tum jan’na chaho ye dukh kyun se’h lia hum nay

abhi jo laut kar phir tum
hamaray dar pay aa’ay ho
ye tum say ke’h dya kis nay
k tum bin reh nahi saktay
ye dukh hum se’h nahi saktay
Kaha tum say ye kis nay hai
k tum bin hum buhat ro’aay haiN
raaton ko na soyay hain
sun lo goo’ar say janaa
agar beetay huway lamhon ko
tum nay wapis lana hai
hama’ri zindagi main phir
hamhaiN wapis bulana hai
mujhay afsoos hai janaa
k tum mayoos lauto gi
agar tum jan’na chaho
K aisa kyun kia hum nay
ye dukh kyun se’h lia hum nay
tu sun lo goa’r say janaa
puranay ehd-e-raftaa ki
riwayat torr di hum nay

MOHABBAT CHOR DI HUM NAY

Categories: Urdu Poetry

teray ehd-o-pemaa’n mai bharay huway kisi lafz mai bhi wafa nahi

o-bewafa aa sun zara meri rooh par guzaree’n jo qaya’amtain
mera dil dukha to bohat magar meray lub pay ab bhi gila nahi

tera bus na tha to kyu mujhay naye mousamoo’n ki naveed di
tu mujhay paeshgi mai jo day gya woh phool ab tak khila nahi

thi jin mousamoo’n mai teri wapsi mai ab bhi ho unka muntazir
par woh fasl-e-gul kaha rah gaye mujhay ab to kuch bhi pata nahi

tera raaz jo mujh pay na khul saka mujhay dosroo’n say pata chala
teray ehd-o-pemaa’n mai bharay huway kisi lafz mai bhi wafa nahi

teray dostoo’n mai tera bharm rahay yehi soch kay mai chup raha
jo nigah mai tha woh chupa liya jo dil mai tha kisi say kaha nahi

Categories: Urdu Poetry

usski aik siski pey

usski aik siski pey
be-tarah taraptay hi
be-qarar dil apna,
uski khush-naseebi ki,
yuN duaaeiN karta hey
khud ko bhool jata hey

haan wuh ajnabi lekin,
apni zindgaani mein,
is tarah ulajhta hey,
roz-o-shab yuN kerta hey
khud ko yaad rakhta hey
mujh ko bhool jata hey
mujh ko bhool jata hey

Categories: Urdu Poetry

Iss se pehlay ke

Iss se pehlay ke
Dasht-e-imkaan main
Wasl-e-jaan ki arzoo na rahay
Is se pehlay ke baar-e-gham se kaheen
Tujh ko panay ki justuju na rahay
Is se pehlay k dhasht-e-khwahish main
Farsh-e-afsurdgi bichay ser-e-rah
Laut aao ke muntazir hai nigah
Is se pehlay ke loh-e-kismet per
Baab-e-ulfat tamam ho jaye
Is se pehlay k shaam ho jaye…!!

Categories: Urdu Poetry