Home > Urdu Poetry > Kahan laut kur koi aaye ga, jo guzar gaya su guzar gaya

Kahan laut kur koi aaye ga, jo guzar gaya su guzar gaya

Ye safar bhi kitna taweel hai, yahaan waqt itna qaleel hai
Kahan laut kur koi aaye ga, jo guzar gaya su guzar gaya

Wo wafaeiN theeN k jafaeiN theeN, na soch kis ki khataaiN theeN
Wo tera hai ussay galay laga, jo guzar gaya su guazr gaya

Koi farqaey shah o gada nahi k yahaan kissi ki baqa nahi
Ye ujaaR mehlooN ki sun sada, jo guzar gaya su guzar gaya

Tujhay aytebaar-o-yaqeen nahi, nahi duniya itni buri nahi
Na malal kur meray saath aa, jo guzar gaya su guzar gaya…

Categories: Urdu Poetry
  1. No comments yet.
  1. No trackbacks yet.