Home > Urdu Poetry > woh abar meray dasht-e-tamana mai utarta

woh abar meray dasht-e-tamana mai utarta

woh abar meray dasht-e-tamana mai utarta
aye kash samandar bhi kabhi dariya mai utarta

kirnoo’n ki dhanak aurh kay ek rooz achanak
woh mujh say bichar kar meri dunia mai utarta

ek asks meray dil kay darechay mai dharakta
ek khwab meri ankh kay sehra mai utarta

bay noor na rahti shab-e-hijraa’n ki hatheli
woh jan-e-dua dasht-e-tamana mai utarta

woh chand kisi mehal kay khwaboo’n ka muqadar
kyu meray bujhay ghar ki tamana mai utarta

Javaid kisi shab meray khwaboo’n ka musafir
ankhoo’n say nikal kar dil-e-tanha mai utarta

Categories: Urdu Poetry
  1. No comments yet.
  1. No trackbacks yet.