Archive

Archive for August, 2008

جی چاہے تو شیشہ بن جا، جی چاہے پیمانہ بن جا

August 29, 2008 Some One Some Where 1 comment

 

 

جی چاہے تو شیشہ بن جا، جی چاہے پیمانہ بن جا
شیشہ پیمانہ کیا بننا، مئے بن جا، مےخانہ بن جا
مئے بن کر، مئےخانہ بن کر، مستی کا افسانہ بن جا
مستی کا افسانہ بن کر، ہستی سے بیگانہ بن جا
ہستی سے بیگانہ ہونا، مستی کا افسانہ بننا
اس ہونے سے، اس بننے سے، اچھا ہے دیوانہ بن جا
دیوانہ بن جانے سے بھی، دیوانہ ہونا اچھا ہے
دیوانہ ہونے سے اچھا، خاکِ درِ جاناناں بن جا
خاکِ درِ جاناناں کیا ہے، اہلِ دل کی آنکھ کا سرمہ
شمع کے دل کی ٹھنڈک بن جا، نورِ دلِ پروانہ بن جا
سیکھ ذہین کے دل سے جلنا، کاہے کو ہر شمع پر جلنا
اپنی آگ میں خود جل جاۓ، تو ایسا پروانہ بن جا

Categories: Urdu Poetry

Ishq main tere koh-e-gham

 

 

Ishq mein tere kohe gham sar pe liya jo ho so ho
aesh-o nishaate zindagi chhod diya jo ho so ho

Aql ke madrase se uth, ishq ke maikade mein aa
jaame fanaa bekhudi ab to piya jo ho so ho

hijr ki jo museebatein arz kiin uske rubaru
naazo adaa se muskura kehne lagaa jo ho so ho

hasti ke is saraab mein raat ki raat bas rahe
subhe adam huaa numoo, paaon uthaa jo ho so ho

Categories: Urdu Poetry

Roshan jamal-e-yar se hai – Abida Parveen(Raqs e Bismil)

Categories: Urdu Poetry

yaar ko humne ja-ba-ja dekha

 

 

manum-maa nayaz-mandi ke be to nayyaazdaara
I am needful person, who needs you

gham-e-choon to naaz-nini behzaar naaz-dara
I will take for granted very dearly the sorrow of a beloved like you

tuu-e- afataab-e-chashman wa jamaal tust roshan
you are light of my eyes and your face is shining

agar ast-o-baazgeeram be ke chashm e aaz-daaram
if I giveup you , to whom I ll go

yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chhupa dekha
kahin mumkin hoa kahin wajib
kahin fani kahin baqa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha

kahien woh baadshaah-e-takht nasheen
kahin kaasa liye gadaa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha
kahin wo der libaas-e-mashokan
bar-sare naaz aur aada dekha
kahin zahir jahin chupa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha

kahin aashiq niyaz ki soorat
seena Girya-o-dil jala dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha

Categories: Urdu Poetry

Zahid Ne – Abida Parveen

August 28, 2008 Some One Some Where 1 comment

 

 

 

Us ka mukh ik jot hai,
Ghoongat hai sansaar,
Ghoongat mein woh chup geya ,
Mukh par aanchal daal
zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha
Rukh pe teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
har haal mein bas pesh-e-nazar hai wohi soorat
Mene kabhi roo-e-shab-e-hijran nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
Zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha
Aye thay sabhi tarhaa ke jalway mere aage,
Meine magar ae deeda-e-heraan nahin dekha
Zahid ne mera haasil e eemaan nahi dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshan nahin dekha
Kya kya hua hungaam-e-junoon yeh nahi maloom
Kuch hosh jo aya to garebaan nahin dekha
Zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshan nahin dekha

Categories: Urdu Poetry

Parey haoy they jo jisim-o-jaan par, uttar gaey wo naqaab sarey

Rafaqatoun nay diay hain mujh ko adawatoun kay, ataab sarey
Merey hi dil par hoay hain nazil, mohabbatoun kay azaab sarey

Khushi ki mehfil na raas aae, hazar chaha kay muskurain
Tapish say ghum ki jhulas gaey hain, shaguftagee ka gulab sarey

Yahi hay tadber-e-husn-e-gulshan, eywaz guloun key miley hain kantey
Ajeeb qismat ka hay karishma, gunha baney hain sawab sarey

Gharor say sar utha rahay they, wo jushan-e-hasti mana rahay they
Hawa nay kheencha jab apna daman hawa hoay phir habaab sarey

Wo khushboon ka libaas pehney, mila kuch aisay kay aik pal main
Parey haoy they jo jisim-o-jaan par, uttar gaey wo naqaab sarey

Sawal sada sa zindagi say, kiya tha hum nay bhi aik SARWAT
Wo pathron ki hoi hay barish kay mil gaey hain jawab sarey

Categories: Urdu Poetry

ye barishein bhi tum si haiN

ye barishein bhi tum si haiN
Jo baras gai to bahar haiN
Jo theher gai to qarar haiN
kabhi aa gai younhi besabab
kabhi chaa gai younhi roz-o-shab
kabhi shor haiN kabhi chup si haiN
ye barshein bhi tum si hain
kisi yaad mein kisi raat ko
Ik dabi howi si rakh ko
kabhi youn huwa k bujha dia
kabhi khud se khud ko jala dia
kahiN bond bond main gum si haiN
ye barshain bhi tum si haiN

Categories: Urdu Poetry

wo chahta tha phir bhi koi guftago na ki

wo chahta tha phir bhi koi guftago na ki
hum nay bhi poochnay Ki kabi justujoo na ki
tasveer teri dekh kar ankheein chalak pareiN
hum nay teri ibadaat kabhi bay-wuzu na ki

baithay rahay chup chap hum parda nasheeN k paas
Musa ki tar’haN dekhnay ki arzoo na ki
wo hai nasha-e-ishq ki lazat say bay khabar
jis nay ye zindagi kabhi nazar-e-sobo na ki

karta raha baiy’aaN wo gaiy’rooN k sa’manay
us nay kabhi she’kayat merey ruu-ba-ruu na ki
kyuN dil meiN chupa’ey rakhay haiN num nay raaz-e-Ishq
ahel-e-Janoon ki baat kabhi koo-ba-koo na ki

Categories: Urdu Poetry

sung meray uski nisbat thee kuch aisee laa-jawaab

Dard dil ko dey gaya, aankhoon ko paani dey gaya
jaatay jaatay woh mujhe apne nishaani dey gaya

rung gaya woh is qadar palkoon ke jhaalar ko meray
khwaab kuch woh sabz, peelay, aasmaanee dey gaya.

meray bujhti lau ko jab se kar gayaa hai taiz woh
Tootee saansoon ko meree zindagani dey gaya.

Ley gayaa woh saath apnay vasl ki har aik aas
shaam-e-furqat ke liye yaadien suhanee dey gaya.

sung meray uski nisbat thee kuch aisee laa-jawaab
jo kisee se keh na paaoon woh kahani de gaya………!!!

Categories: Urdu Poetry

Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay

Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gay
Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay

Na Dikhayain Gay Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthey Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gay

Jaan De Daingein Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usey Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhain Gay

Sab Hata Daingay Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazey Ko Har Waqt Khula Rakhain Gay

Unki Har Baat Ko Bhooley Se Na Bhoolain Gein Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gay

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki MeMoN
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gay!!

Categories: Urdu Poetry

Kaho dukh k samander ka safar ab tak raha kaisa..?

Kaho dukh k samander ka safar ab tak raha kaisa..?
Kaha ujlay kinaaro’n ka koi imkaan daikha hay…

Kaho derya kinaaro’n say bhhala kya guftugoo thehri..
Kaha derya ko apnay zabt pay hairaan daikhha hay…

Kaha kyun kis liyay khhola yeh tum nay dilka drwaza
Bataaya dil k rasto’n per koi mehmaan daikhha hay…

Kaho us ishq ki baabat, bhhala kya had rahi ho gi..?
Kaha woh ishq jaisay rooh ka sartaan daikhha hay…

Kaho us say bichharrnay ki, tumhain manzoor yeh hoga
Kaha jeenay ki khuwaahish ko kabhi qurbaan daikhha hay…

Kaho phir tum pay kya guzri, woh khuwaab-e-zindagi khho ker..?
Kaha kal apni aankho’n ko bohot bay-jaan daikhha hay…!

Categories: Urdu Poetry

jo kho’gaey haiN wo lamhay talash karta tha

ajeeb hijar parasti thi uski fitrat maiN
shajar k totay pattay talash karta tha

tamam raat wo parda hata k chaand k sath
jo kho’gaey haiN wo lamhay talash karta tha

dua’yaiN karta tha ujray hoo’vay mazaaroN par
baray ajeeb saha’ray talash karta tha

mujhay to aaj bataya ha badlooN nay “Wasi”
wo lout aa’nay k rastay talash karta tha

Categories: Urdu Poetry

mere kamray k muqaddar men faqat tanhaee

maiz chup chaap, ghari band, kitaaben khaamosh
apnay kamray ki udaasi pay taras aata hai
mera kamra jo mere dil ki har ek dharkan ko
saal’ha saal se chup chaap ginay jaata hai
jehd-e-hasti ki kari dhoop se thak jaanay par
jis ki aaghosh ne bakh’sha hai mujhay maaN ka khuloos
jis ki khaamosh inaayat ki suhani yaaden
loriyan ban k mere dil men sama jaati hen
meri tanhai k ehsas ko zaayel karnay
jis ki deewaaren mere pass chali aati hen
ye kitaaben bhi mera saath nahi deetiN aaj
KATES ki nazm, ARASTU k hakeemaana qoal
sang-e-mar’mar ki imaarat ki tarah saakit hen
tu hi kuch baat kar aey mere dharaktay huay dil
tu hi ek mera sahara hai, mera moonis hai
tu hi is sard andhere men charaaghaN kar day
zindagi meri koi baat nahi sun sakti

mujko maloom hai kya beet chuki hai tujh par

mere chehray k sulagtay huay zakhmon ko bhi dekh
meri aankhon pay, meri fikr pay paabandi hai
men usay chaahon bhi to yaad nahi kar sakta
tu usay kho k machal sakta hai, ro sakta hai
aur men lut k bhi faryaad nahi kar sakta
isi aeenay ne dekhay hen hamaray jhagray
yehi zeena hai jahan men ne usay chooma tha
in qameezon men, in uljhay huay roomaaloN men
us k baalon ki mehek aaj bhi aasooda hai
jo kabhi meri thi, inkaar pay bhi meri thi
ab faqat bazm-e-tasavvur men nazar aati hai
raat bhar jaag k likhi hui tehreeroN se
ab bhi un aankhon ki tasveer ubhar aati hai
chaandni khil k nikhar aee hai darwaazay par
oas se bheegtay jaatay hen puraanay gamlay
subh kya jaanay kahan hoti hai, kab hoti hai
jaanay insaan ne kis waqt ye nemat paee
meri qismat men bas ek silsila-e-shaam-o-sahar
mere kamray k muqaddar men faqat tanhaee

Categories: Urdu Poetry

Raat Ruk gai hey Yaa, Raat ki Hawaili Main

August 13, 2008 Some One Some Where 1 comment

Raat Ruk gai hey Yaa, Raat ki Hawaili Main
Khwab Kaa Naya Maskan Be-Jawaaz LamhoN ney
Be-Sabab Iraado’n Ney, Be-Nishan Ra’ngo’n ney
Sai’nchney Kaa Socha Hey
Soch Hi Liya Hey To….
Raat key Parindey Ko Dair Takk Jagaana Hey
Aor Apney Kamrey Ki, Khirrkio’n Ko Ba’ndd Kar key
Dil Key Baam o Darr Sey Phir
Be-Qarar NazmoN Ko
Muztarib See GhazloN Ko..
Hijr Key Framo’n Sey..Nochna Zuroori Hey
aor Inn Framo’n Mai’n, Marsiya Sajaana Hey
Kia karai’n ke Haayel hey
Soch Aor Iraadey Key Darmayan Majboori
Waqt Kab Rukaa Hey Jo, Aaj Rukney Waala Hey
Izteraab Thhehra Hey
Raat Ruk Gaee Hey Yaa, Wehm Jaagta Hey Koi?
Yoo’n Laga Key GharriyoN Key,
Darmaya’n Khhalaa Hey Koi…..!

Categories: Urdu Poetry

wo mujhe aaj bhi mil jaata hei khwabon mei kahin…

August 13, 2008 Some One Some Where 1 comment

uske khat aaj bhi rakhein hein kitabon mei kahin
wo mujhe aaj bhi mila jata hei khwabon mei kahin

naam likhta tha mera pyaar se in shaakhon pe
ret pe, phoolon pe, har koochon mei deewaron pe
uski chahat ke nishaa hei inhi raahon mei kahin

chandni banke mujhe chhuuta hei raaton mei kabhi
banke mehendi meri rach jata hei haaton pe kabhi
uski khushboo to basi hei meri sanson mei kahin

aaye mausam koi uska ki khayal aata hei
wo mujhe yaad ki har mord pe mil jata hei
baat uski hi nikal aati hei baaton mei kahin

wo mujhe aaj bhi mil jaata hei khwabon mei kahin…

Categories: Urdu Poetry