Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai
January 3rd, 2011 § 2 Comments
Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai?
Har taraf khalq ne kiyun shor macha rakha hai,
Roshni din ki wohi,
Taaron bhari rat wohi,
Aaj hum ko nazar aati hai har baat wohi,
Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen,
Aik hindse ka badalna koi jiddat to nahi,
Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere,
Kise maloom nahi 12 maheene tere,
Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein,
Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein..?
Tu naya hai to dikha subha nai, sham nai..
Warna in aankhon ne deikhe hain naye saal kayii…
Bohot Pyaari
a graet poem by Faiz ahmed Faiz