Har chand sahara hai tere pyar ka dil ko : Nayyara Noor

February 25th, 2012 § Leave a Comment

har chand sahara hai tere pyar ka dil ko
rehta hai magar aik ajab khaf sa dil ko

woh khuaab k dekha na kabhi le ura neendain
woh dard k utha na kabhi kha gaya dil ko

yaan saans ka laina bhi guzar jana hai jee se
yaan marka e ishq bhi ik khel tha dil ko

woh aein to hairan woh jaein to pareshaan
yaa rab koi samjhaye yeh kya hogaya dil ko

Yeh kis ka tasavur hai : Jagjit Singh

February 24th, 2012 § Leave a Comment

.ye kis kaa tasavvur hai, ye kisakaa fasaanaa hai

jo ashk hai aa.Nkho.n me.n tasbiih kaa daanaa hai
 
jo un pe guzarti hai kis ne usay jana hai 
apni hi museebat hai apna hi fasana hai
 
aa.Nkho.n me.n namii sii hai chup-chup se vo baiThe hai.n

nazuk sii nigaaho.n me.n naazuk saa fasaanaa hai
 
ye ishq nahii.n aasaa.N itanaa to samajh liije

ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
 
yaa vo the Khafaa ham se yaa ham the Khafaa unase

kal un kaa zamaanaa thaa aaj apanaa zamaanaa hai

Mujhay tum yaad aatay ho – Alamgir

February 24th, 2012 § 1 Comment

be rukhi tum ne bhi ke, uzar-e-zamana kar ke

February 20th, 2012 § Leave a Comment

be rukhi  tum ne bhi ke, uzar-e-zamana kar ke
hum bhi mehfil sy uth aaey hain, bahana kar ke

kitni batei’N, k na kehna thi’N, woh keh bheji hain
ab pashemaan hain, qaasid ko ravana kar ke

jaanty hain, wo tunak khoo hy, so apna ahvaal
hum suna dety hain, aouro’N ka fasana kar ke

kya kahei’n, kya hy un aankho’N mein, k rakh deti hain
aik achy bhaly insaa’N ko deewana kar ke

koi veerana-e-hasti ke khabar kya lataa
khud bhi hum bhool gaey, dafn khazana kar ke

aankh masroof-e-nazara thi, to hum khush thy Faraz
uss ne kya zulm kia, dil mein thikana kar ke

AHMED FARAZ from “Ay Ishq-e-junoon Paisha”

(Contributed by Amaavas)

Idraak par muheet hai, arz-o-sama ka dukh

February 9th, 2012 § Leave a Comment

idraak par muheet hy, arz-o-samaa ka dukh
iss sy pary bhi, jo hy, wo hy maavraa ka dukh

dil ne kaha, na dekh soo-e-aasma’N, keh yun
barhta hy na rasai-e-dast-e-dua ka dukh

dil mein ab aur kya hy, jisy dhoondti hy khalq
kafi hy zindagi ko, shikast-e-anaa ka dukh

sun lo musafaraan-e-biabaan-e-sham-e-gham
bakhshy ga ibtada ka safar, intaha ka dukh

kion inn dino’N sawar hy do kashtio’N pe dil
chahat ik ajnabi ke, to ik aashnaa ka dukh

MOHSIN khiza’N ka naam, badal kar likho issy
nayabi-e-nuqoosh-e-kharaam-e-saba ka dukh

MOHSIN NAQVI from “Barg-e-Sehra”
contributed by Amaavas

Nishan Tak Na Milenge Meri Wafa K Usay

February 9th, 2012 § Leave a Comment

Nishan Tak Na Milain ge Meri Wafa K Usay,
K Maine Rah Badl Di Hay Aazma K Usay!

Kabhi Na Harf Koi Uski Sadgi Ka Khula,
Warq Warq Parha Main ne Dil Laga K Usay!

Jo Sab Ka Haal Hua Tha Wo Mera Haal Hua,
Bani Na Baat Koi Bat Bhi Suna K Usay!

Mujhy Yaqeen Hy Wo Laut Kr Bhi Ayega,
Magr Udaas Hun Ab Raasta Dikha K Usay

shaam-e-gham much us nigh-e-naaz ki batain karo

February 8th, 2012 § Leave a Comment

Sham e Gum Kuch US Nigah e Naaz Ki Batain Karoo
Bekhudi Barhati Chali Hai Raz Kee Batain Karoo

Ye Sakoot e Naaz Ye DiL Kee Ragon Ka Tootna
Kahmoshi Main Kuch Shikast e Saaz Kee Batain Karoo

Nikahat e Zulf e Pareshan Dastan e Sham e Gum
Subah Hone Tak Isi Andaz Kee Baten Karoo

Har Rug e Dil Vajd Main Atii rahe Dukhati Rahi
Yoon Hi Us Ke Ja o Beja Naz Ki Batain Karo

Kuch Kafas Ki Tiliyon Sa Chan Raha Ha Noor Sa
Kuch Fiza Kuch Hasrat e Parwaz Ki Batain Karo

Jiske Furqat Ne Palat Di Ishq Ki Kaya Firaq
Aaj Usi Essa Nafas Damasaz Ki Batain Karo

(Jigar Muradabadi)

Singer :  Vinod Sehgal

Tujhay apnay dil se

February 8th, 2012 § Leave a Comment

Qurbat bhi nahi dil se utar bhi nahi jata

February 6th, 2012 § Leave a Comment

Qurbat bhi nahi dil se utar bhi nahi jata
wo shakhs koi faisla kar bhi nahi jata

Dil ko teri chaahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujhse bichhaR janae ka dar bhi nahi jata

Aankhein hain ke khali nahi rehti hain Lahu se
aur zakhm-e-judaai hai ke bhar bhi nahi jata

Wo rahat-e-jaaN hai magar is dar badari mein
aisa hai ke ab dhyaan udhar bhi nahi jata

Hum dohri aziyyat ke gariftaar musafir
paaon bhi hain shull shauq-e-safar bhi nahi jata

Paagal huye jate ho Faraz us se mile kya
itni si khushi se koi mar bhi nahi jata

meri chunni diyan reshmi

February 5th, 2012 § Leave a Comment

Akhiyaan no rehn de

February 5th, 2012 § Leave a Comment

Baat Yeh Tere Siwa Aur Bahla Kis Se Karain

February 2nd, 2012 § Leave a Comment

Baat Yeh Tere Siwa Aur Bahla Kis Se Karain
Tu Jafa Kaar Howa Hay To Wafa Kis Se Karain

Aiina Samne Rakhain To Nazar Tu Aaye
Baat Jo Tujh Se Chupaani Ho Kaha Kis Se Karain

Hath Uljhe Howay Resham Main Phansa Baithe Hain
Ab Bata Kaun Se Dhaage Ko Juda Kis Se Karain

Zulf Se Chashm Lab O Rukh Se K Tere Ghum Se
Baat Yeh Hay K Dil O Jaan Ko Rihaa Kis Se Karain

Tu Nahi Hay To Phir Aye Husan E Saaz Bata
Is Bhare Shehar Main Hum Jaise Mila Kis Se Karain

Tu Nay To Apni SI Karni Thi So Kar Li Khawar
Masla Yeh Hay K Hum Is Ka Gilla Kis Se Karain

(Ayub Khawar)

Where Am I?

You are currently viewing the archives for February, 2012 at Pas-e-Aaina.

Follow

Get every new post delivered to your Inbox.

Join 94 other followers