tu abhi se waaqif-e-ghum na ho,


 

tu abhi se waaqif-e-ghum na ho, abhi tera ehd-e-shabab hai
meri chashm-e-shauq na dekh tu ke ye ansuon ki kitab hai

na meri nazar se nazar mila, ke ye ittefaq ajeeb hai
mujhay shouq jam-e-sharab ka teri ankh jam-e-sharab hai

tere rukh pe jo bhi nazar parri, wo shua-e-husn se jal gai
tujhay dekh sakta nahin koi, tera husn khud hi niqaab hai

jahan dil khushi se jhuka mera, wahin sir bhi main ne jhuka diya
mujhaya anjum iss se gharaz nahin, ye azaab hai ya sawaab hai