tujhay kai khabar meray be-khabar mera silsla koi aur hai


tujhay kai khabar meray be-khabar mera silsla koi aur hai
jo mujhi ko muj se baham karay wo garaiz-e-pa koi aur hai

meray moasmoon k bhi toar they meray barg-o-baar he aur they
magar ab ravish hai alag koi magar ab hawa koi aur hai

yehi shehar shehar-e-qarar hai tu dil-e-shikasta ki kher ho
meri aa’s hai kisi aur se mujhay pochta koi aur hai

hain muhabatoon ki aamantain yehi hijratain yehi qurbatain
dee’ay baam-o-dar kis aur ne tu raha basaa koi aur hai

ye fiza k rang khulay khulay isi paish-o-pus k hain silsalay
abhi khush nawa koi aur tha abhi pur kusha koi aur hai

dil-e-zood-o-ranj na kar gila kisi garam -o-sard raqeeb ka
rukh-e-na saza tuu hai roo baroo paas-e-na saza koi aur hai

Sar-e-taq-e-jan Na Chiragh Hai,Pas-e-bam-e-shab Na Sahar Koi,


Sar-e-taq-e-jan Na Chiragh Hai,Pas-e-bam-e-shab Na Sahar Koi,
Ujab Ek Arsa-e-daraz Hai,Na Guman Hai Na Khabar Koi.

Nahin Aab To Koi Malal Bhi,Kisi Wapsi Ka Khiyal Bhi,
Gham-e-baikasi Ne Mita Diya,Meray Dil Main Tha Bhi Aagar Koi.

Tujhay Kia Khabar Ke Raat Bhar,Tujhay Daikh Paanay Ko Ek Nazar,
Raha Sath Chand Kay Muntazar,Teri Khidkion Ke Udhar Koi.

Sar-e-shakh-e-jan Teray Naam Ka,Ujab Ek Taza Gulab Tha,
Jisay Aandhi’on Se Khatar Na Tha,Jisay Tha Khizan Ka Na Daar Koi.

Teri Bairukhi Kay Diyar Main,Ghani Tairgi Ke Hisar Main,
Jalay Kis Tarah Se Chiragh-e-jan,Karay Kis Taraf Ko Safar Koi.

Katay Waqt Chahay Aazab Main,Kisi Khuaab Main, Ya Sarab Main,
Jo Nazar Se Door Nikal Giya,Usay Yaad Karta Hay Har Koi.

Sar-e-bazm Jitnay Chiragh Thay,Woh Tamam Ramz Shanas Thay,
Teri Chashm-e-khush Ke Lihaz Se,Nahin Boolta Tha Magar Koi.

tuhmatein to lagtein hein


tuhmatein to lagtein hein
roshini ki khwahish mein
gher se bahir aaney ki kuch saza to milti hai
log log hotey hein
un ko kia khabr janan’
aap k iradon’ ki khobsorat aankhon mein
basney waley khwabon’ k rang kesey hotey hein
dil ki god aangan mein palney wali baton’ k
zakhm kesey hotey hein
kitney gehrey hotey hein
kab yeh soch saktey hein
esi be-gunah aankhein
gher k koney khudron’ mein chhup k kitna roti hein
phir bhi yeh kahani se
apni kujj byani se
is qadar rawani se dastan’ sunatiin hein
or yaqeen ki aankhon se
sach k ghamzada dil se lag k roney lagti hein

samandar ke kinaray sahilon ki rait ke ander


samandar ke kinaray sahilon ki rait ke ander

hamaray kitne hi anmol khuwabon ke khazeenay hain

dafeenay hain, fasanay hain

hawa chalti hai jab choo kar

hamaray dil ke zakhmon ko

kharabay rooh ke abaad ho jatay hain yadoon se

gaye waqtoon ki baton se

kahan ho tum? kahin bholay se aa niklo

agar aanay pe qadhan hai

tu bus itna hi kar dalo

hawa ke daush pe be harf sargoshi

koi be lafz sandesa hi kar dalo

junon ke wastay itna hi kafi hai

hamain jeena tau hai aur umar baqi hai

wo awazain hi sun lain ge jo koi lab nahin kehtey

aur aisay khuwab bun lain ge, kabhi jo sach nahin hote

bus aisay hi bahanon main ye jeevan paar kar lain ge

tumharay naam kar dain ge !!

aaNkh se aaNkh milaa baat banaataa kyuuN hai – Chitra Singh


 

aaNkh se aaNkh milaa baat banaataa kyuuN hai
tu agar mujhase Khafaa hai to chhupaataa kyuuN hai

Gair lagataa hai na apanon kii tarah milataa hai
tu zamaane kii tarah mujhako sataataa kyuuN hai

vaqt ke saath haalaat badal jaate hain
ye haqiiqat hai magar mujhako sunaataa kyuuN hai

ek muddat se jahaaN kaafile guzare hii nahiin
aisii raahon pe charaaGon ko jalaataa kyuuN hai

meiN khizaaN ki dhoop ka aa’ina k meiN eik ho k hazar hoon


meiN khizaaN ki dhoop ka aa’ina k meiN eik ho k hazar hoon
kahiN ansuoN ka ho qaafila kahiN jugnuoN ki qitaar hoon

koi tara toot kar gir geya koi chaand chhatt say utar geyaa
kisi asmaaN ki chaal say jo bikhar geya wuhi haar hoon

wuhi sookhay sookhay say pairr heiN wuhi ujri ujri tehniyaaN
koi phool jis pe hila nahiN ghumoN ki aesii bahaar hooN

mujhay kyuN bulaatey heiN pyar sey ye chehaktey punchi mundeir sey
maiN khamoshi ka dard hooN meiN udaas Chaand ka pyaar hooN

maiN wuh sheir hooN jisey aaj tak na paRha geya na suna geyaa
jisay ungliyoN ne chhuwaa nahiN wuhi bad-naseeb sitaar hooN

tum buhut dair say aay hu maseehaa meray


lay gaye laash meri,ahl-e-tamaashaa meray
tum buhut dair say aay hu maseehaa meray

band sab dar hain koi chehra nahin roshan na chiragh
ab kahaan jaaygaa too, ay dil-e-tanhaa meray

mery hi khoon ki bondon say khilaa hay gulzaar
kesay ehsaan na maanegaa ye sehraa meray

kahin shaair,kahin maair,kahin sudaai hoon
naam kiya kiya hen sar-e-shehr tamannaa mery

Yeh sheeshay yeh sapnay, yeh rishtay yeh dhagay


Yeh sheeshay yeh sapnay, yeh rishtay yeh dhagay
Kisay kiya khabar hei kahan toot jaaein
Mohabbat kay dariya mein tinkey wafa key
Najaney yeh kis mor par doob jaaein
Ajab dil ki waadi ajab dil ki basti
har ik mor mousam nayee khawahishon ka
lagaye hein hum ne bhi sapnon ke poday
magar kiya bharosa yahan baarishon ka
muradon ki manzil key sapnon mein khoyay
mohabbat ki raahon peh hum chal pare thay
zara door chal kar jab aankhein khuli to
karee dhoop mein hum akalay kharey thay
Jinhein dil sey chaha, jinhein dil sey pooja
Nazar aa rahey hein wohi ajnabee say
Rawayat hei shayad yeh sadiyon purani
shikayat nahin hei koi zindagi say
Yeh sheeshay yeh sapnay, yeh rishtay yeh dhagay
Kisay kiya khabar hai kahan toot jaaein.

Na Rang Meray…… Na Khwaab Meray


Na Rang Meray…… Na Khwaab Meray
Hoay to kuch bas azaab meray
Na chand rataiN, na phool bataiN
Na neeli subhaiN, na jheel shamaiN
Na koi aahat, na koi dastak
Harouf mafhoom kho chukay thay
AllamataiN banjh ho ga’ai theeN
Gulabi khwaboon k pairahan rakh ho chukay thay
Haqeeqatoon ki barhaanagi
Apni sari safakiyooN k hamrah
Jism-o-jaaN maiN utar rahi hai
Wo mehrbaaN sayadar badal
Azaab rut maiN choor ker mujh ko ja chuka hai

Meri BaaNhooN MeiN BeHknay Ki Saza Bi Sunn Le


Tang Aaghosh MeiN Aabaad KarooN Ga Tujh Ko
HooN BuHt Shaad Ke Na’shaad KarooN Ga Tujh Ko
Fikkr-e Eijaad MeiN Guum HooN Mujhay Ghafil Na Samaj
Apnay Andaaz Per Eijaad KarooN Ga Tujh Ko
Nasha Hei Rah Ke Doori Ka Ke Hamrah Hei Tu
Janay Kis SheHr MeiN Aabaad KarooN Ga Tujh Ko
Meri BaaNhooN MeiN BeHknay Ki Saza Bi Sunn Le
Abb Buht Dair MeiN Aazaad KarooN Ga Tujh Ko
MeiN Ke ReHta HooN Ba’sad-e Naaz GuraizaaN Tujh Se
Tu Na Ho Ga Tou Buht Yaad KarooN Ga Tujh Ko

Mukafaat


Mukafaat
Rahi hei hazrat e yazdaaN se dosti meri
Raha hei zuhd se yaarana istavaar mera
Guzar gayee hei taqadus mein zindagi meri
Dil ahrman se raha hei sateezakaar mera
Kisi pe rooh numaayaaN na ho saki meri
Raha hei apni umangooN pe ikhtiyaar mera
Dabaaye rakha hei seenay mein apni aahoon ko
Wahin diya hei shab o roz paech o taab unhein
Zabaan e shauq banaya nahin nigahoon ko
Kiya nahin kabhi wehshat mein bay’niqaab unhein
Khayaal hi mein kiya pervarish gunahoon ko
Kabhi kiya na jawani se behrayaab unhein
Yeh mil rahi hei mere zabt ki saza mujh ko
Ke ik zehr se labraiz hei shabaab mera
Azeeyutoon se bhari hei her ik baydaari
Muheeb o roohsataaN hei her ik khawaab mera
Fishaar e zabt se baytaab hei rubaab mera
Magar yeh zabt mere qehqahoon ka dushman tha
Pyaam e marg e jawaani tha ijtanaab mera
Lo aa gayee hein wo ban ker muheeb tasveerein
Wo aarzoo’ein ke jin ka kiya tha khooN mein ne
Lo aa gaye hein wohi paervaan e ahrman
Kiya tha jin ko siyaasat se sarnigooN mein ne
Kabhi na jaan pe dekha tha yeh azaab e aleem
Kabhi nahin ay mere bakht e waazgooN mein ne
Magar yeh jitni azeeyut bi dein mujhay kam hei
Kiya hei rooh ko apni buht zabooN mein ne
Ussay na hone diya mein ne humnava-e shabaab
Na iss pe chalnay diya shoq ka fasooN mein ne
Ay kaash chhup ke kahin ik gunah ker leta
hilawatoon se jawani ko apni bhar leta
gunnah eik bi ab tak kiya na kyoon mein ne?

 

 

(Noon Meem Rashid)

chaaragaro kuch tou karo!!!


aaj ki raat bi phir khawaab jagayein ge mujhay
phir wo kerwaT se khayaalooN ke tasalsul ko mitanay ki kasheed e koshish
jism ke dard ko silwaT mein samo ke
wohi bistar pe TaRapte hovay, mehjoori e janaaN ko
kabhi aah, kabhi saans ki gehraai mein, shal kerne ki
sa’i e nakaam
yeh bi maloom hei
yeh neem rassi, fehm ki deevaar talak jast
yeh saaye ki tasveer, kisi shakl o shabahat ke tasalsul ke nishaan hein lekin
na’saboori, yeh badan toRti angRaiyaaN
hoontooN pe mehkti larzish
baat ko rabt ke aahung mein laanay ki talab
meere seenay ka dhuwaaN, aankhein sharaboor kiay
her bun e moo ki mulaqaat ka joya ker de
aankh chaRtay hovay dariya ki tarah hei pur’aab
paoon phislay hei tou phir saans ka rishta na rahe
hum tou chaaheiN magar iss dil ko yeh accha na lagay
jaaN’kunni hud se baRhi chaaragaro kuch tou karo!!!

WehshataiN kaisi haiN khwabooN say uljhna kia hai


WehshataiN kaisi haiN khwabooN say uljhna kia hai
Aik duniya hai akeli tu hi tanha kia hai
Daad day zarf-e-sama’at to karam hai warna
tashnagi hai meri aawaz ki naghma kia hai
Bolta hai koi her aan lahoo maiN meray
Per dikhai nahi deta yay tamasha kia hai
Jis tamanna main guzarti hai jawani meri
MaiN nay ab tk nahi jana wo tamanna kia hai
Yay meri roh ka ehsas hai ankhain kia haiN
Yay meri zaat ka aaina hai chehra kia hai
Kaash daikho kabhi tootay hoay aainooN ko
Dil shikista ho to phir apna paraya kia hai
Zindgi ki aye kari dhoop bacha lay mujh ko
Pechay pechay yay meray mout ka saya kia hai

MUJHAY US SE MOHABBAT HAI


Wo mujh se nahi kehta …
Key usay mujh sey mohabbat hai …
Magar woh aaj kal, aik junoon ki zad main rehta hai …
Ajab aik bekhudi hai jo usay bechain rakhti hai …
Woh mujh se baat karta hai …
Bohot hi aam si, mousam ki, logoon ki …
Meyhaz dunya ki rasmi si …
Woh mujh se baat karne key, bahane dhoondta hai un hawaloon se …
Samaghta hai main us ki aam si baatoon ko bas “yoonhi” samaghti hoon …
Woh milta hai aksar bahanoon se …
Key main guzar raha tha yahan se tou socha key baat hi kar loon …
Samaghta hai key main us key in bahanoon ko na janoongi …
Kabhi jo phone karta hai …
Tou us ki mohabbat us key lehje se chalakti hai …
Mujhay bechain karti hai …
Woh mera dehaan rakhta hai …
Meri har baat ko hi bin kahe jaan leta hai …
Samaghta hai woh ye phir bhi …
Key us ne khud ko chupa rakha hai khud hi se …
Magar aksar …
Woh khud anjane main apna ye parda chaak karta hai …
Key jab meri – bohot pehle kahi hui har baat ko woh yaad rakhta hai …
Aur unhi lafzoon main mere saamne dohra bhi deta hai …
Youn lagta hai …
Key us ne meri kahi har baat ko yaad rakha hai …
Woh jaise aik Sahifa ho …
Woh mujh se ye nahin kehta …
Key us ki khuahish us ko bohot bechain rakhti hai …
Ya shayad in dinoon woh khud se bhi chupata hai …
Magar …
Uski nigaahain aksar us ko nakaam karti hain …
K saray Jame-e-ulfat k woh bhar bhar kar lutati hain …
Woh darta hai k kahin woh kho na de mujh ko …
K koi baat us ki mujh ko us se duur na kar de …
Woh mujh ko soochta hai …
Jaagta hai raat bhar woh bhi …
Magar shayad abhi us ko mohabbat main ….
Khamooshi se hi jalna hai …
K woh jab tak parh nahin leta …
Ye aankhain, jis main k us ka naam likha hai …
K mere laho ki gardishoon main raqs karti chahatain us ki …
Woh jab tak paa nahin leta …
Samagh leta nahin jab tak …
K main bhi gaamzan hoon …
Khamooshi se us k raaste par …
Main bhi jaagti hoon, soochti hoon raat bhar us ko …
Magar us se nahin kehti …
K …
“MUJHAY US SE MOHABBAT HAI” …

Do Ishq


Taaza Hain Abhi Yaad Main Aay Saaqi-e-gulfaam
Wo Aks-e- Rukh-e-yaar Se Lihkay Huay Ayyaam
Wo Phool C Khilti Hui Deedaar Ki Saa’at
Wo Dil Sa Dharakta Hua Umeed Ka Hangaam
Umeed,k Lo Jaaga Gham-e-dil Ka Naseeba
Lo Shoq Ki Tarsi Hui Shab ho Gayi Aakhir
Lo Doob Gaey Dard K Be-khwaab Sitaray
Ab Chamkay Ga Bay-sabr Nigaahon Ka Muqaddar
Is Baam Se Niklay Ga Tere Husn Ka Khursheed
Us Kunj Se Phootay Gi Kiran, Rang-e-Hina Ki
Is Dar Se Bahega Teri Raftaar Ka Seemaab
Us Raah Pay Phelay Gi Shafaq Teri Qaba Ki
Phir Dekhay Hain Wo Hijr K Taptay Huay Din Bhi
Jab Fikr-e Dil-o-Jaan Main Fughaan Bhool Gaee Hai
Har Shab Wo Siyah Bhooj K Dil Baith Giya Hai
Har Subh Ki Low Teer C Seenay Main Lagi Hai
Tanhai Main Kya Kya Na Tujay Yaad Kia Hai
Kya Kya Na Dil-e-zaar Ne Dhoondi Hain Panaahen
Aankhon Se Lagaaya Hai Kabhi Dast-e-saba Ko
Daali Hain Kabhi Gardan-e-mahtaab Main Bhaahain
………
Chaaha Hai Isi Rang Main Laila-e-watan Ko
Tarpa Hai Isi Tor Se Dil Is Ki Lagan Main
Dhoondi Hain Yunhi Shoq Main Aasaaish-e-manzil
Rukhsaar K Kham Main,kabhi Kaa’kul Ki Shikan Main
Is Jaan-e-jahan Ko Bhi Yunhi Qalb-o-nazar Nay
Hans Hans K Sada Di,kabhi Ro Ro K Pukaara
Pooray Kiye Sab Harf-e-tamanna K Taqaazay
Har Dard Ujaala,har Ek Gham Ko Sanwaara
Wapas Nahi Phera Koi Farmaan JunuN Ka
Tanha Nahi Loti Kabhi Aawaaz Jaras Ki
Khairiat-e-jaan,raahat-e-tan,sehat-e-daamaN
Sab Bhool Gaeen Maslehaten Ehl-e-hawas Ki
Is Raah Main Jo Sab Pay Guzarti Hai Wo Guzri
Tanha Pas-e-zindaN,kabhi Ruswa Sar-e-baazaar
Garjay Hai Bohot Shaikh Sar-e-gosha-e-mimbar
Karkay Hai Bohot Ehl-e-hakam Barsar-e-darbaar
Chora Nahi GhairoN Nay Koi Naawak-e-dishnaam
Chooti Nahi ApnoN Se Koi Tarz-e-malaamat
Is Ishq Na Us Ishq Pay Naadim Hai Magar Dil
Har Daagh Hai Is Dil Main Bajuz Daagh-e-Nidaamat

Jo Baat Tujh Mein Hay, Teri Tasweer Mein Nahi…


Jo Baat Tujh Mein Hay, Teri Tasweer Mein Nahi…

rangoon mein tera aaks dhala tu na dhal saki…
sansoon ki aanch jism ki khusboo na dhal saki
tujh mein jo loach hay meri tehreer mein nahi!

bayjaan husn mein kahan raftar ki ad’a
inkaar ki ad’a hay na ikrar ki ad’a
koi lachak bhee zulf-e-girahgeer mein nahi

duniya mein koi chiz nahi hay teri terhan
phir ek baar samnay aaja kisi terhan
kia aur ek jhalak meri takdeer mein nahi….

by Sahir Lodhyanvi

Tumhari bheegti palkoon say mainay barha poocha


Tumhari bheegti palkoon say mainay barha poocha

kay dil k kheil mein kia jeetnay walay bhee rotay hein?
wu jinki chasm-e-khudbeen aur ko deekha nahi kerti,
bhala kis dil say gham k taar mein moti pirootay hein?

Tumhari bheegti palkoon sya mainay barha poocha

Kay kia manind-e-sheesha patharoon mein baal aata hay?
asar-angaiz hay ab bhee muhabbat ka wuhi jazba,
ju aisay hoshmandoon ko bhee yun pagal banata hay?

Tumhari bheegti palkoon sya mainay barha poocha

misaj-e-husn mein yun yak-bayak kia inkilaab aaya?
sitara daikhna aur daikh ker afsurda hu jana…
barri takheer say tumko sitaroon ka hisab aaya!!

Tumhair bheegti palkoon say mainay barha poocha

Kay terk-e-rabt say kia mujhse wehsi yaad aatay hein?
tal-luk torna aasan tha tu aankh kyun numm hay… …
ana-perwar jaffa-paisha bhee yun aansoo bahatay hein?

Tumhari bheegti palkoon sya mainay barha poocha

kay jalnay aur jalanay mein bhala kia lutf aata hay??
bus ek jhooti ana kay wastay berbad hu jana??
khudi kay zua’mm mein insaan kitnay dukh uthata hay… …

Khaleel-ullha Farooqi

Mujhe bekhudi yeh tu ne


 

Hairat maraaz-e-har do jahan, bee-niyaaz kard
(Wonder has made me needless from both worlds)

ein khhwab kaar-e-daulat-e-bedar-e-mi kunad(RUMI)
(This sleeping has made me like awaken )

khuli jabke chashm-e-dil-e-hazeen
(when the eye of this sad heart opened)

to woh nam raha na tarii rahee
(no wetness and dampness is left)

hoi hairat aisee kuchh aankh par
(my eye got such amazement that)

be-asar ki be-asarii rahee
(the effect of effect less got on me )

padi gosh-e-jaan me ajab nida
(that sound was heard by the ear of life)

ke jigar na be-jigaree rahee
(only thing left was oblivion)

khabar-e-tahiyyur-e-ishaq se
na junoon raha na pari rahee
na to tuu raha na to main rah
jo rahee so be-khabarii rahee

(Khamsa by Nazeer Akbarabadi for Siraj Aurangabadi)

Mujhe bekhudi yeh tu ne, bhali chaashni chakhai
Kisi aarzo ki dil mein, nahi ab rahi smaai

Na hazar hai nay khatar hai, na reja hai nay dua hai
Na khayal-e-bandagi hai, na tamanna-e-khudai

Mujhe bekhudi yeh tu ne, bhali chaasheni chakhai

Na maqaam-e-guftugu hai, na mehal-e-justujuu hai
na wohan hawaas puhnchain, na khirad ko hai rasaai

Na makeen hai nay makaan hai, na zameen hai nay zabaan hai
Dil-e-benawa ne meray, wahan chhawni hai chhaii

Na visaal hai na hijraan, na suroor hai na gham hai
Jise kaheyye khwab-e-ghaflat, so woh neend mujh ko aayee

Mujhe be-khudi yeh tu ne, bhali chaasheni chakhai

جی چاہے تو شیشہ بن جا، جی چاہے پیمانہ بن جا


 

 

جی چاہے تو شیشہ بن جا، جی چاہے پیمانہ بن جا
شیشہ پیمانہ کیا بننا، مئے بن جا، مےخانہ بن جا
مئے بن کر، مئےخانہ بن کر، مستی کا افسانہ بن جا
مستی کا افسانہ بن کر، ہستی سے بیگانہ بن جا
ہستی سے بیگانہ ہونا، مستی کا افسانہ بننا
اس ہونے سے، اس بننے سے، اچھا ہے دیوانہ بن جا
دیوانہ بن جانے سے بھی، دیوانہ ہونا اچھا ہے
دیوانہ ہونے سے اچھا، خاکِ درِ جاناناں بن جا
خاکِ درِ جاناناں کیا ہے، اہلِ دل کی آنکھ کا سرمہ
شمع کے دل کی ٹھنڈک بن جا، نورِ دلِ پروانہ بن جا
سیکھ ذہین کے دل سے جلنا، کاہے کو ہر شمع پر جلنا
اپنی آگ میں خود جل جاۓ، تو ایسا پروانہ بن جا

Ishq main tere koh-e-gham


 

 

Ishq mein tere kohe gham sar pe liya jo ho so ho
aesh-o nishaate zindagi chhod diya jo ho so ho

Aql ke madrase se uth, ishq ke maikade mein aa
jaame fanaa bekhudi ab to piya jo ho so ho

hijr ki jo museebatein arz kiin uske rubaru
naazo adaa se muskura kehne lagaa jo ho so ho

hasti ke is saraab mein raat ki raat bas rahe
subhe adam huaa numoo, paaon uthaa jo ho so ho

yaar ko humne ja-ba-ja dekha


 

 

manum-maa nayaz-mandi ke be to nayyaazdaara
I am needful person, who needs you

gham-e-choon to naaz-nini behzaar naaz-dara
I will take for granted very dearly the sorrow of a beloved like you

tuu-e- afataab-e-chashman wa jamaal tust roshan
you are light of my eyes and your face is shining

agar ast-o-baazgeeram be ke chashm e aaz-daaram
if I giveup you , to whom I ll go

yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chhupa dekha
kahin mumkin hoa kahin wajib
kahin fani kahin baqa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha

kahien woh baadshaah-e-takht nasheen
kahin kaasa liye gadaa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha
kahin wo der libaas-e-mashokan
bar-sare naaz aur aada dekha
kahin zahir jahin chupa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha

kahin aashiq niyaz ki soorat
seena Girya-o-dil jala dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chupa dekha
yaar ko humne ja-ba-ja dekha

Zahid Ne – Abida Parveen


 

 

 

Us ka mukh ik jot hai,
Ghoongat hai sansaar,
Ghoongat mein woh chup geya ,
Mukh par aanchal daal
zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha
Rukh pe teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
har haal mein bas pesh-e-nazar hai wohi soorat
Mene kabhi roo-e-shab-e-hijran nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshaan nahin dekha
Zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha
Aye thay sabhi tarhaa ke jalway mere aage,
Meine magar ae deeda-e-heraan nahin dekha
Zahid ne mera haasil e eemaan nahi dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshan nahin dekha
Kya kya hua hungaam-e-junoon yeh nahi maloom
Kuch hosh jo aya to garebaan nahin dekha
Zahid ne mera haasil e eemaan nahin dekha
Rukh par teri zulfon ko pareshan nahin dekha

Parey haoy they jo jisim-o-jaan par, uttar gaey wo naqaab sarey


Rafaqatoun nay diay hain mujh ko adawatoun kay, ataab sarey
Merey hi dil par hoay hain nazil, mohabbatoun kay azaab sarey

Khushi ki mehfil na raas aae, hazar chaha kay muskurain
Tapish say ghum ki jhulas gaey hain, shaguftagee ka gulab sarey

Yahi hay tadber-e-husn-e-gulshan, eywaz guloun key miley hain kantey
Ajeeb qismat ka hay karishma, gunha baney hain sawab sarey

Gharor say sar utha rahay they, wo jushan-e-hasti mana rahay they
Hawa nay kheencha jab apna daman hawa hoay phir habaab sarey

Wo khushboon ka libaas pehney, mila kuch aisay kay aik pal main
Parey haoy they jo jisim-o-jaan par, uttar gaey wo naqaab sarey

Sawal sada sa zindagi say, kiya tha hum nay bhi aik SARWAT
Wo pathron ki hoi hay barish kay mil gaey hain jawab sarey

ye barishein bhi tum si haiN


ye barishein bhi tum si haiN
Jo baras gai to bahar haiN
Jo theher gai to qarar haiN
kabhi aa gai younhi besabab
kabhi chaa gai younhi roz-o-shab
kabhi shor haiN kabhi chup si haiN
ye barshein bhi tum si hain
kisi yaad mein kisi raat ko
Ik dabi howi si rakh ko
kabhi youn huwa k bujha dia
kabhi khud se khud ko jala dia
kahiN bond bond main gum si haiN
ye barshain bhi tum si haiN

wo chahta tha phir bhi koi guftago na ki


wo chahta tha phir bhi koi guftago na ki
hum nay bhi poochnay Ki kabi justujoo na ki
tasveer teri dekh kar ankheein chalak pareiN
hum nay teri ibadaat kabhi bay-wuzu na ki

baithay rahay chup chap hum parda nasheeN k paas
Musa ki tar’haN dekhnay ki arzoo na ki
wo hai nasha-e-ishq ki lazat say bay khabar
jis nay ye zindagi kabhi nazar-e-sobo na ki

karta raha baiy’aaN wo gaiy’rooN k sa’manay
us nay kabhi she’kayat merey ruu-ba-ruu na ki
kyuN dil meiN chupa’ey rakhay haiN num nay raaz-e-Ishq
ahel-e-Janoon ki baat kabhi koo-ba-koo na ki

sung meray uski nisbat thee kuch aisee laa-jawaab


Dard dil ko dey gaya, aankhoon ko paani dey gaya
jaatay jaatay woh mujhe apne nishaani dey gaya

rung gaya woh is qadar palkoon ke jhaalar ko meray
khwaab kuch woh sabz, peelay, aasmaanee dey gaya.

meray bujhti lau ko jab se kar gayaa hai taiz woh
Tootee saansoon ko meree zindagani dey gaya.

Ley gayaa woh saath apnay vasl ki har aik aas
shaam-e-furqat ke liye yaadien suhanee dey gaya.

sung meray uski nisbat thee kuch aisee laa-jawaab
jo kisee se keh na paaoon woh kahani de gaya………!!!

Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay


Is Zamane Sey Na Hum Koi Gilaa Rakhain Gay
Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay

Na Dikhayain Gay Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthey Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gay

Jaan De Daingein Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usey Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhain Gay

Sab Hata Daingay Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazey Ko Har Waqt Khula Rakhain Gay

Unki Har Baat Ko Bhooley Se Na Bhoolain Gein Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gay

Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki MeMoN
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gay!!

Kaho dukh k samander ka safar ab tak raha kaisa..?


Kaho dukh k samander ka safar ab tak raha kaisa..?
Kaha ujlay kinaaro’n ka koi imkaan daikha hay…

Kaho derya kinaaro’n say bhhala kya guftugoo thehri..
Kaha derya ko apnay zabt pay hairaan daikhha hay…

Kaha kyun kis liyay khhola yeh tum nay dilka drwaza
Bataaya dil k rasto’n per koi mehmaan daikhha hay…

Kaho us ishq ki baabat, bhhala kya had rahi ho gi..?
Kaha woh ishq jaisay rooh ka sartaan daikhha hay…

Kaho us say bichharrnay ki, tumhain manzoor yeh hoga
Kaha jeenay ki khuwaahish ko kabhi qurbaan daikhha hay…

Kaho phir tum pay kya guzri, woh khuwaab-e-zindagi khho ker..?
Kaha kal apni aankho’n ko bohot bay-jaan daikhha hay…!

jo kho’gaey haiN wo lamhay talash karta tha


ajeeb hijar parasti thi uski fitrat maiN
shajar k totay pattay talash karta tha

tamam raat wo parda hata k chaand k sath
jo kho’gaey haiN wo lamhay talash karta tha

dua’yaiN karta tha ujray hoo’vay mazaaroN par
baray ajeeb saha’ray talash karta tha

mujhay to aaj bataya ha badlooN nay “Wasi”
wo lout aa’nay k rastay talash karta tha

mere kamray k muqaddar men faqat tanhaee


maiz chup chaap, ghari band, kitaaben khaamosh
apnay kamray ki udaasi pay taras aata hai
mera kamra jo mere dil ki har ek dharkan ko
saal’ha saal se chup chaap ginay jaata hai
jehd-e-hasti ki kari dhoop se thak jaanay par
jis ki aaghosh ne bakh’sha hai mujhay maaN ka khuloos
jis ki khaamosh inaayat ki suhani yaaden
loriyan ban k mere dil men sama jaati hen
meri tanhai k ehsas ko zaayel karnay
jis ki deewaaren mere pass chali aati hen
ye kitaaben bhi mera saath nahi deetiN aaj
KATES ki nazm, ARASTU k hakeemaana qoal
sang-e-mar’mar ki imaarat ki tarah saakit hen
tu hi kuch baat kar aey mere dharaktay huay dil
tu hi ek mera sahara hai, mera moonis hai
tu hi is sard andhere men charaaghaN kar day
zindagi meri koi baat nahi sun sakti

mujko maloom hai kya beet chuki hai tujh par

mere chehray k sulagtay huay zakhmon ko bhi dekh
meri aankhon pay, meri fikr pay paabandi hai
men usay chaahon bhi to yaad nahi kar sakta
tu usay kho k machal sakta hai, ro sakta hai
aur men lut k bhi faryaad nahi kar sakta
isi aeenay ne dekhay hen hamaray jhagray
yehi zeena hai jahan men ne usay chooma tha
in qameezon men, in uljhay huay roomaaloN men
us k baalon ki mehek aaj bhi aasooda hai
jo kabhi meri thi, inkaar pay bhi meri thi
ab faqat bazm-e-tasavvur men nazar aati hai
raat bhar jaag k likhi hui tehreeroN se
ab bhi un aankhon ki tasveer ubhar aati hai
chaandni khil k nikhar aee hai darwaazay par
oas se bheegtay jaatay hen puraanay gamlay
subh kya jaanay kahan hoti hai, kab hoti hai
jaanay insaan ne kis waqt ye nemat paee
meri qismat men bas ek silsila-e-shaam-o-sahar
mere kamray k muqaddar men faqat tanhaee

Raat Ruk gai hey Yaa, Raat ki Hawaili Main


Raat Ruk gai hey Yaa, Raat ki Hawaili Main
Khwab Kaa Naya Maskan Be-Jawaaz LamhoN ney
Be-Sabab Iraado’n Ney, Be-Nishan Ra’ngo’n ney
Sai’nchney Kaa Socha Hey
Soch Hi Liya Hey To….
Raat key Parindey Ko Dair Takk Jagaana Hey
Aor Apney Kamrey Ki, Khirrkio’n Ko Ba’ndd Kar key
Dil Key Baam o Darr Sey Phir
Be-Qarar NazmoN Ko
Muztarib See GhazloN Ko..
Hijr Key Framo’n Sey..Nochna Zuroori Hey
aor Inn Framo’n Mai’n, Marsiya Sajaana Hey
Kia karai’n ke Haayel hey
Soch Aor Iraadey Key Darmayan Majboori
Waqt Kab Rukaa Hey Jo, Aaj Rukney Waala Hey
Izteraab Thhehra Hey
Raat Ruk Gaee Hey Yaa, Wehm Jaagta Hey Koi?
Yoo’n Laga Key GharriyoN Key,
Darmaya’n Khhalaa Hey Koi…..!

wo mujhe aaj bhi mil jaata hei khwabon mei kahin…


uske khat aaj bhi rakhein hein kitabon mei kahin
wo mujhe aaj bhi mila jata hei khwabon mei kahin

naam likhta tha mera pyaar se in shaakhon pe
ret pe, phoolon pe, har koochon mei deewaron pe
uski chahat ke nishaa hei inhi raahon mei kahin

chandni banke mujhe chhuuta hei raaton mei kabhi
banke mehendi meri rach jata hei haaton pe kabhi
uski khushboo to basi hei meri sanson mei kahin

aaye mausam koi uska ki khayal aata hei
wo mujhe yaad ki har mord pe mil jata hei
baat uski hi nikal aati hei baaton mei kahin

wo mujhe aaj bhi mil jaata hei khwabon mei kahin…

meray mah-o-saal k beach maiN koi aisaa lamha gay’aa nahi


meray mah-o-saal k beach maiN koi aisaa lamha gay’aa nahi
teRa naam maiN ne lee’aa nahi tujhaY yaad maiN ne kia nahi

teRa koN sa wo madaaR tha jahaN gaR’dashaiN meRi ruk gaa’ee
teRa koN sa wo kahyal tha jisaY maiN ne damaN dee’ya nahi

meRa safaR adhoRa he rah gay’aa mujhaY manziloN ka pata nahi
maiN humsafaR isay maana tha kabhi saath jis ne dee’ya nahi

yahaN haR qadam pe haiN haadsaY ye khayal he dil ko thaka gay’aa
ye safaR k see’raat-e-taaveel hai abhi aik qadam taak utha nahi

ye meRi Ana ki hai sirkashi jo wasaf aisaY sikha gaa’ee
maiN dar’yaa hooN jo giRa nahi wo pahaR hooN jo hila nahi

koi aik aa’nsoo aisa day daR-o-baam apnaY saja looN maiN
tujhaY kia khabaR meRi raah maiN koi taRa, jugnoo, dee’ya nahi

koi be-qaRari se aaj be meray dil maiN khaaR hai khenchti
koi daRd tha jo daba nahi koi aansoo tha jo baha nahi

isay baad baRsooN k dekh k yuuhi aik lamhaY ko kia huwa
koi saans thei jo chali nahi koi zabat hai jo huwa nahi

Zakham Deney Ko Naye,Yaar Puray Aye


Kasey Kasey Na Muhabat Main Zamane Aye
Aik Hum Thy Kah Na Hush Apny Thikane Aye

Bhool Betha Tha Jisey Shidat_e_Ghum Se Us Ko
Merey Ahbab Mujhe Yaad Dilaney Aye

Mutmaeen Thy Ke Lagi Dil Ki Sunain Gay Hum
Dost Jab Aye To Apni Hi Sunnay Aye

Hum Ne Socha Tha Keh Chutkara Milay Ga Ghum Se
Dasht_o_ Sehra Se Bhi Kuch Agey Zamany Aye

Her Taraf Phael Gai Unn K Badan Ki Khushbu
Raat Chupkay Se Wo Jab Merey Serhany Aye

Mundmil Honey Lagey Daagh Jo Es Dil Ke Mager
Zakham Deney Ko Naye, Yaar Puranay Aye

Kabhi is trha meray humsafer


Kabhi is trha meray humsafer
Sabhi chahataiN meray naam ker
Ager ho sakay to kabhi kaheen
Meray naam bhi koi shaam ker
Meray dil kay sa’ay maiN aa zara
Meri dharkanooN maiN qayam ker
Yay jo meray lafzooN kay phool haiN
Teray rastay ki yay dhool haiN
Kabhi in say sun meri dastaaN
Kabhi in kay sath qalam ker

jo khuwab ubhray they ankh main unhain Aankh main hi sula diya


Kabhi zid main hi tera ho gaya kabhi dil ne tujhko gawa diya.
Isi kashmakash mei jiye sanam tune yaad rakha ya bhula diya.

Kabhi be bassi me hi hans diye kabhi hansi ne hum ko rula diya.
Kabhi phool say rahi berukhi,kabhi khaar say hath mila diya.

Kabhi ik ko apna na ker sake,kabi khud ko sab ka bana diya.
Yu hi din guzar gaye pyar kay,yu hi khwab khud ko bana diya.

Jo mila nahi wo mera hua, jise kho diya use pa lia.
Ye ajeeb khel hain pyar kay, ik khel se hi nibha lia.

Hai ajeeb shaan ki zindagi,k main haarta raha jeet ker
jo khuwab ubhray they ankh main unhain Aankh main hi sula diya

Awaz


Halqoom-e-samaa’t main
ugg aaye hain kante ab
awaz ka ik qatra
laikin nahin mil pata
shabnam tere lehjay ki
kis tun main utarti hai
num teri hansi ka ab
kis tun ko bhigoota hai
main payaas se be-kal hoon
aur tere takallum ka !
ik ghoont nahin milta
iss qehat zada dil main
ab ke na khule shayed
ye payas samaa’t ki
jaan le ke tulay shayed !

koii khushbu bikharti hey


ZameeN aur aasmaaN k darmiyaaN phaeley manazir meiN
buhat aahistagi sey jab koi khushbu bikhartii hey
tou aankhoN meiN sitaaroN ka ajab melaa saa lagta hey
hawaa sar-goshiyaaN pehney dareechoN sey guzarti hey
koi khushbu bikharti hey
darakhtoN sey judaa hotey be-khaanumaaN pattey
safar kaa aaghaaz kartey heiN
tou sapnoN par haqeeqat ka koi par tau saa paRta hey
sabaa qos-e-qaza kii raah meiN zeeney banaati hey
aur ik be-naam sii aahaT dabey paaoN utarti hey
koii khsuhbu bikharti hey
neyaa mosam puraaney raastoN ki dhoohl sey
chehra uTthaata hey
tou shbanam kaasa’e Gul meiN kai sikey giraati hey
zameeN pehloo badalti hey
koii khushbu bikharti hey
buhat aahistagi sey phir terii khushbu bikharti hey

koi baat esi kiya karo,koi lafz aisa kaha karo


koi baat esi kiya karo,koi lafz aisa kaha karo
mile jis se dil ko qaraar as koi shair esa padha karo

nahi dukh main es ko rakha karo kabhi sukh bhi esko diya karo
ye udas hai kayi roz se mere dil main aa ke raha karo

jo kathan kathan se hain raaste,ye sabhi hain kyon mere waaste
ye jo jal raha hoon main aag main kabi tum bhi is main jala karo

abhi ta’q tumhari he aa’s hai mere dil k ab bhi tu paas hai
hai ye dil tumhare hisaar main isay meri jaan rihaa karo

mera din ho ya meri raat ho, faqat ek tumhari he baat ho
abhi jesey tum mere saath ho yunhi mere sath raha karo

vo Kehti hai maiN apney Dil meiN Ik deewar Uthaon gi


vo Kehti hai maiN apney Dil meiN Ik deewar Uthaon gi
main kehta hooN k main Iss baat ka matlub nahi samjha

vo Kehti hai main aankhon mein koi sehra basaa’oon gi
main Kehta hooN k bee’nayii Jhulas jaa’ey gi aisy tu

vo Kehti hai main pairron par tumhara bakht likhooN gi
main Kehta hooN pairron se adawat hai tumhein koi

vo Kehti hai main pani par tera chehra bana’oon gi
main Kehta hoon mujhay lagta hai tera dil b pani hai

vo mujh Se oochti hai tum kisay mujrim samjhtey ho
main Kehta hooN usay Jo dard k maani na samjha Ho

vo mujh se poochi hai jhoot aur sachayian kya haiN
main kehta hoon k niyyat aur natayej ki pazeerayii

vo mujh se poochti hahi sab se pehley kon rehta tha
maiN kehta hoon k andaza ya mafrooza he mumkiN hai

vo mujh se poochti hai koN reh Ja’ey ga duniya meiN
main kehta hooN k bilkul Ik naa’ey aur ajnabi duniya

vo mujh se poochti hai, Junglon mein koN rehta hai
maiN kehta hoon vohi Jo shehar meiN rehney se kha’yef hai

apnay andeshoo’n ki barat dekhatay kis ko


apnay andeshoo’n ki barat dekhatay kis ko
tum hi jub bhool gaye to yaad atay kis ko

uth gaye khud hi, dekha to faqt ghair thay hum
ashna thay sabhi mehfil say uthatay kis ko

kuch musaar na huwa apnay hi zakhoo’n kay siwa
muskuratay huway khwaboo’n mai sajatay kis ko

hum bhatakay hi rahay shehar kay werano mai
apni tanhaye ka ehsaas dilatay kiss ko?

Hyaat Key Ujrey Dyaar Mein Kuch Taarekiyaan Abhi Aur Hain


Hyaat Key Ujrey Dyaar Mein Kuch Taarekiyaan Abhi Aur Hain
Naseeb Key Bigrey Nisaab Mein Kuch Talkhiyaan Abhi Aur Hain

Main Ney Phir Sey Tinkey Jorr Kar Socha K Banaaon Aik Ghar
Mujhey Tabhi Falaq Sey Nawa Milli Key Wahaan Badliyaan Abhi Aur Hain

Yahi Dekh Ab K Teray Khwaab Sab Kyon Dhal Gye Hain Saraab Mein
Dil E Be Khabar Zara Hosh Kar K Teray Imtehaan Abhi Aur Hain

Wo Daagh Yaadon Key Bad Numaan Too Ney Mitaaye To Hain Par Sab Nahi
Maseeha E Waqt Meray Zehan Par Aisay Kuch Nishaan Abhi Aur Hain

Aey Toofan E Hawa Zara Phir Sey Aa In Bastiyon Mein Har Us Jaga
Jahaan Bach Gye Hain Chand Ghareeb Aisey Kuch Makaan Abhi Aur Hain

Main Chaahon Agar Bhi To Kis Trah Supurd E Ajal Ho Jaaon Abhi
K Is Soukhta Jaan Key Hisaab Mein Qarz E Dostaan Abhi Aur Hain

Abhi Khwaahishon Mein Lagey Raho Zara Saans Lainey Ko Ruko Nahii
Mujhey Hai Yaqeen Yahien Aass Pass Naye Aasmaan Abhi Aur Hain

Mera chaara-gar raha bekhabar…


Mera chaara-gar raha be-khabar…
Wuh tou dooriyoN ko dawa kahey
MajbooriyoN ko raza kahey
Jo main an-kahi ko kahun zeher
To wuh aagahi ko saza kahe

Mera chaara-gar raha be-khabar…
Wuhi be-qaraari ki saa’atein
Wuhi be-samar meri chaahatein
Nahin khaamshi ko gumaan bhi
K taras rahi hain samaa’atein

Mera chaara-gar raha be-khabar…
Iss shab ki koi sahar nahin
Mere dil pe uss ki nazar nahin
Nahin merey bakht mein chahatein
In haqeeqatoN sey mafar nahin

Mera chaara-gar raha bekhabar…