Kiyun tu acha lagta hai


kyo tu acha lagta hai
waqt mila to sochenge
tujh mein kya kya dekha hai
waqt mila to sochenge

saara shahar shanaasai ka daawedaar to hai lekin
kaun hamara apna hai
waqt mila to sochenge

humne usko likha tha
kuch milne ki tadbeer karo
usne likhkar bheja hai
waqt mila to sochenge

mausam, khusboo, baad-e-sabaa, chand, shafaq aur taaron mein
kaun tumaare jaisa hai
waqt mila to sochenge

ya to apne dil ki maano ya fir dunia walon ki
mashwara uska acha hai
waqt mila to sochenge

kyon tu acha lagta hai
waqt mila to sochenge

zindagi yun thi ke jeenay ka bahana tu tha


zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha
hum faqat zaib-e-hikayat the, fasana tu tha 

hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijran mein, woh log
aate jaate huye mausam the, zamana tu tha

ab ke kuch dil hi na maana ke palat kar aate
warna hum dar-ba-daron ka to thikana tu ha

yaar aghayaar ke haathon mein kamanein thi ‘Faraz’
aur sab dekh rahe the ke nishana tu tha

zindagi main to sabhi payar – Mehdi Hasan


zindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hain
main to markar bhi meri jaan tujhe chahoonga

tu mila hai to ye ehsaas huaa hai mujhko
ye meri umr mohabbat ke liye thhodi hai
ek zara sa ghum-e-dauraan ka bhi haq hai jis par
maine wo saans bhi tere liye rakh chhorri hai
tujh pe ho jaaoonga qurban tujhe chahoonga
main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga

apne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liye
maine dhadkan ki tarah dil mein basaaya hai tujhe
main tasavvur bhi judaai ka bhala kaise karoon?
maine kismat ki lakeeron se churaaya hai tujhe
pyar ka banke nigehbaan tujhe chaahoonga
main to markar bhi meri jaan tujhe chaahoonga

teri har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraag
jab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aaye
tujhko chhulun to aye jaan-e-tamanna mujhko
dair tak apne badan se teri khushboo aaye
tu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahoonga
main to marrkar bhi meri jaan tujhe chaaoounga….

 

hasaar-e-zaat say baahir gaya nahi koi


hasaar-e-zaat say baahir gaya nahi koi
yahaan kisi kay liyay raasta nahi koi
mujhay bhi uss say biccherr kar koi na raas aaya
ussay bhi mairi tarah ka mila nahi koi

Only hope


Artist: Mandy Moore
Song Title: Only Hope
There’s a song that’s inside of my soul. 
It’s the one that I’ve tried to write over and over again 
I’m awake in the infinite cold. 
But you sing to me over and over and over again. 

So, I lay my head back down. 
And I lift my hands and pray 
To be only yours, I pray, to be only yours 
I know now you’re my only hope. 

Sing to me the song of the stars. 
Of your galaxy dancing and laughing and laughing again. 
When it feels like my dreams are so far 
Sing to me of the plans that you have for me over again. 

So I lay my head back down. 
And I lift my hands and pray 
To be only yours, I pray, to be only yours 
I know now, you’re my only hope. 

I give you my destiny. 
I’m giving you all of me. 
I want your symphony, singing in all that I am 
At the top of my lungs, I’m giving it back. 

So I lay my head back down. 
And I lift my hands and pray 
To be only yours, I pray, to be only yours 
I pray, to be only yours 
I know now you’re my only hope. 

hmmmmm, hmmmmm, oooooh. 

Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log


Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log
Yeh Wafaao Ka Sila Denge Tere Shehar Ke Log

Kya Khabar Thi Tere Milne Pe Qayamat Hogi
Mujhko Diwana Bana Denge Tere Shehar Ke Log

Teri Nazaro Se Gira Ne Ke Liye Jaan-e-Haya
Mujhko Mujrim Bana Denge Tere Shehar Ke Log

Keh Ke Deewana Mujhe Maar Rahe Hai Patthar
Aur Kya Es Ke Siva DengeTere Shehar Ke Log

Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log
Yeh Wafaao Ka Sila Denge Tere Shehar Ke Log

Taskeen Ko Hum Na Royen Jo Zauq-e-Nazar Mile


Taskeen ko hum na roen jo zauq-e-nazar mile,
Huraan-e-Khuld mein terii suurat magar mile !!

Apanii galii mein mujh ko na kar dafn baad-e-qatl,
Mere pate se Khalq ko kyon teraa ghar mile !!

Saakii garii kii sharm karo aaj varnaa ham,
Har shab piyaa hii karate hain mai jis qadar mile !!

Tujh se to kuchh kalaam nahiin lekin ae nadiim,
Meraa salaam kahiiyo agar naamaabar mile !!

Tum ko bhii ham dikhaaye ke majanuun ne kyaa kiyaa,
Fursat kashaakash-e-Gam-e-pinhaan se gar mile !!

Laazim nahiin ke Khijr kii ham pairavii karen,
Maanaa ke ek buzurg humein humsafar mile !!

Ae saakanaan-e-kuchaa-e-dildaar dekhanaa,
Tum ko kahiin jo Ghalib-e-Aashuftaa sar mile !!

 

Mirza Ghalib

Main bhool jaon tumhain


Mai bhool jaoun tumhain ab yehi munasib hai
Magar bhulana bhi chahoon tou kis tarah bhoolun

K tum tou phir bhi haqeeqat ho koi khawb nahee
Yahan tou dil ka ye aalam hai k kia kahoon

Bhulaa na saka ye wo silsila jo tha hi nahee
Wo ik khiyal jo awaz tak gaya hi nahee

Wo aik baat jo mai keh nahee saka tum say
Wo aik rabt jo hum mein kabhi raha hi nahee

Mujhe hai yaad wo sub jo kabhi huwa hi nahee
Agar ye haal hai dil ka tou koi samjhaye

Tumhain bhulana bhi chahoon tou kis tarah bhoolun
K tum tou phir bhi haqeeqat ho koi khawb nahee..

 

woh jo ankH maiN banta thA woH bhi paiker toot gyA


ankH se itna barsA paNi dekH ke maiN hera’N huwa
jaNay kitNi sadiOn ka tHA ek samaNdaR toot gyA

kuch din se main dekH raHaa hoo khWab bhi mere aNdhay haiN
woh jo ankH maiN banta thA woH bhi paiker toot gyA