Tark e Taluqaat pe Roya na tu na mian


Tark-e-Taluqaat pe Roya na tu na mian
Lekin ye kia ke chain se soya na tu na main

Halaat ke talism ne pathra dia magar
Beete samay ki yaad main khoya na tu na main

Her chand ke ikhtilaaf ke pehlu hazar the
Waa kar saka magar lab-e-goya na tu na main

Nohay Faseel-e-zabt se unchay na ho sake
Khul kar dayar-e-sang main roya na tu na main

Jab bhi nazar uthti to falak ki taraf uthti
Bargushta aasman se goya na tu na main

Kahin Chaand Raahon main kho gaya


kahin chand rahon mein kho gaya, khain chandni bhi bhatak gai
mein charagh wo bhi bujha howa, meri raat kesey chamak gai….

meri dastaan ka urooj tha, teri narm palkon ki chha’oon mein
merey sath tha tujhey jagna, teri ankh kesey jhapak gai….

kabhi hum miley bhi to kia miley, wohi dorian wohi fasley
na kabhi hamarey qadam barhey, na kabhi tumhari jhijhak gai….

Tere Hath se Mere Hont tak wohi intzar ki Piyas hai
Mere Naam ki jo Sharab thi kahin raste mein Chhalak gai…

tujhey bhool janey ki koshishain, kabhi kamyaab na ho sakin
teri yad shakh-e-gulab hey, jo hawa chali to lachak gai….